Tags-Aaina

kahīñ dekhe hī sāda-rū ḳhuñḳhār
chashma-e-ā.īna meñ jok na ho
Ghazal
sher kya jis mein nok-jhok na ho
misl-e-ā.īna pāk-bāzī meñ
saaf dil huuñ ġhubār kī saugand
Ghazal
KHak hun etibar ki saugand
pesh-e-ā.īna maiñ ab us ko sañvartā dekhūñ
sīḌhiyoñ se jo mujhe roz utartā dekhe
Ghazal
apni tashhir kare ya mujhe ruswa dekhe
lamha-e-rafta ko āvāz to detī hogī
ā.īna ā.īna jab koī vo mujh sā dekhe
Ghazal
apni tashhir kare ya mujhe ruswa dekhe
usī maqām pe aks apne maiñ ne dafnā.e
jahāñ pe nasb mujhe ā.īna bhī karnā thā
Ghazal
kuchh is pe sochna tha mashwara bhi karna tha
gosha-e-bāġh huā ḳhuld guzarne se tire
ā.īna aks-e-ruḳh-e-yār uThāne se huā
Ghazal
mere girya se na aazar uThane se hua
na dekhā hai jis ne kabhī apnā chehra
vahī shahr meñ ā.īna bāñTtā hai
Ghazal
koi har maraz ki dawa banTta hai
jo tark-e-talab se pahle thā dil kā vahī aalam aaj bhī hai
ā.īna nahīñ badlā jaatā tasvīr badaltī rahtī hai
Ghazal
barson jo nazar tufanon ke aaghosh mein palti rahti hai
dekho qal.ī khulegī saaf us kī
ā.īna un ke muñh chaḌhā hai aaj
Sher
dekho qali khulegi saf uski
kaise badal rahe ho batātā nahīñ hai kyā
ā.īna koī tum ko dikhātā nahīñ hai kyā
Ghazal
kaise badal rahe ho batata nahin hai kya
bahut ḳhush hue ā.īna dekh kar
yahāñ koī saanī hamārā na thā
Sher
bahut KHush hue aaina dekh kar
chehroñ ke samundar se guzarte rahe phir bhī
ik aks ko ā.īna tarastā hai hamārā
Ghazal
ye jab hai ki ek KHwab se rishta hai hamara
merī āñkhoñ meñ koī chehra charāġh-e-ārzū
vo merā ā.īna jis se ḳhud jhalak jā.ūñ kabhī
Nazm
ideal
ab to ḳhud-bīnī ibādat ho ga.ī
rāt-din pesh-e-nazar ā.īna hai
Ghazal
ishq jo mearaj ka ek zina hai
jab se zulfoñ kā paḌā hai us meñ aks
dil mirā TuuTā huā ā.īna hai
Ghazal
ishq jo mearaj ka ek zina hai
yaad har pal tujh ko karne kā sila paane lagā
mujh ko ā.īna terā chehra hī dikhlāne lagā
Ghazal
yaad har pal tujhko karne ka sila pane laga
us kī mahfil ā.īna-ḳhāna to thī lekin 'surūr'
saare ā.īne salāmat the mire dil ke sivā
Ghazal
dast-o-pa hain sab ke shal ek dast-e-qatil ke siwa
kho.e ho.uuñ pe terī nazar kī navāzisheñ
ā.īna de ke aur bhī hairāñ kiyā gayā
Ghazal
tamir-e-zindagi ko numayan kiya gaya
nihāñ hai gauhar-e-maqsūd jeb-e-ḳhud-shanāsī meñ
ki yaañ ġhavvās hai timsāl aur ā.īna dariyā hai
Ghazal
meri hasti faza-e-hairat aabaad-e-tamanna hai
maiñ huuñ ā.īna tirā aks hai merī ruuh meñ
koī dā.era na anā kā ho vahī ishq hai
Ghazal
na to KHauf roz-e-jaza ka ho wahi ishq hai

Top Urdushayar.com