Tags-Dariya

ik ishāre par bahāyā ḳhuun paanī kī tarah
un ke jāñ-bāzoñ meñ koī mujh sā dariyā-dil na thā
Ghazal
dil mera jab tak kisi ke husn par mail na tha
ban ke sāhil kī nigāhoñ meñ tamāshā ham log
naqsh-e-pā DhūñD rahe haiñ sar-e-dariyā ham log
Ghazal
ban ke sahil ki nigahon mein tamasha hum log
kaun Dūbegā kise paar utarnā hai 'zafar'
faisla vaqt ke dariyā meñ utar kar hogā
Sher
kaun Dubega kise par utarna hai zafar
ik aur dariyā kā sāmnā thā 'munīr' mujh ko
maiñ ek dariyā ke paar utrā to maiñ ne dekhā
Sher
ek aur dariya ka samna tha munir mujhko
jo kal 'irfān' par guzrī sunā kuchh us ke baare meñ
ḳhabar tum ne sunī tūfān meñ dariyā ke bahne kī
Ghazal
kahe deta hun go hai to nahin ye baat kahne ki
ab aa ke so gayā hai samundar kī god meñ
dariyā meñ varna shor hī us kī asaas thā
Ghazal
aazurdagi ka uski zara mujhko pas tha
sabza o gul mauj o dariyā anjum o ḳhurshīd o maah
ik ta.alluq sab se hai lekin raqībāna mujhe
Ghazal
jaan kar min-jumla-e-KHasan-e-mai-KHana mujhe
bas tirā naam bol detā huuñ
aur hoñToñ ke paas dariyā hai
Ghazal
jism ke par wo diya sa hai
dariyā ke paas dekho kab se khaḌā huā hai
ye kaun tishna-lab hai paanī se Dar rahā hai
Ghazal
manzar guzishta shab ke daman mein bhar raha hai
ḳhaak uḌtī bhī rahī abr barastā bhī rahā
ham ne dekhe kabhī sahrā kabhī dariyā-chehre
Ghazal
mahfilen KHwab huin rah gae tanha chehre
ik aisā vaqt bhī sahrā meñ aane vaalā hai
ki rāsta yahāñ dariyā banāne vaalā hai
Ghazal
ek aisa waqt bhi sahra mein aane wala hai
sahāb ban kar falak se barse
ise jo dariyā meñ Daal aao to ik samundar kā ruup dhāre
Nazm
ajib hoti hai ye mohabbat
ab nahīñ hai ḳhushk āñkhoñ meñ sivā vahshat ke kuchh
intihā-e-ġham ne kyā dariyā ko sahrā kar diyā
Ghazal
ek nazuk dil ke andar hashr barpa kar diya
kidhar jā.ūñ kahīñ rastā nahīñ hai
kahāñ Dūbūñ ki dil dariyā nahīñ hai
Ghazal
kidhar jaun kahin rasta nahin hai
ḳhāmosh huā chīḳhte dariyā kā talātum
a tesha-e-farhād tirā ġhul nahīñ TuuTā
Ghazal
aankhon se manazir ka tasalsul nahin TuTa
sadiyoñ se baġhal-gīr haiñ ek duuje se lekin
dariyā ke kināroñ kā tajāhul nahīñ TuuTā
Ghazal
aankhon se manazir ka tasalsul nahin TuTa
tishna thā maiñ bahtā rahā dariyā mire aage
lekin mere hoñToñ kā tahammul nahīñ TuuTā
Ghazal
aankhon se manazir ka tasalsul nahin TuTa
sar-ba-sar ek chamaktī huī talvār thā maiñ
mauj-e-dariyā se magar bar-sar-e-paikār thā maiñ
Ghazal
sar-ba-sar ek chamakti hui talwar tha main
ai nāz-e-ḳhud-ārā.ī de zarf ko pahnā.ī
ghuTtā huā qatre meñ dariyā nazar aatā hai
Ghazal
jis samt nazar jae mela nazar aata hai
kuchh duur kināre ke manāzir to haiñ lekin
jā.egā ye dariyā yūñhī pāyāb kahāñ tak
Ghazal
likkhenge na is haar ke asbab kahan tak

Top Urdushayar.com