Tags-Dariya

zaḳhm-e-dil aur harā ḳhūn-e-tamannā se huā
tishnagī kā mirī āġhāz hī dariyā se huā
Ghazal
zaKHm-e-dil aur hara KHun-e-tamanna se hua
kabhī aisā bhī hotā hai ki dariyā
liye tūfāñ hazāroñ apne andar
Nazm
waqt ki sadiyan
dariyā haiñ 'mīr'-o-'ġhālib' har lab pe jo ravāñ haiñ
'faiz' o 'firāq' aur 'dāġh' har dil pe hukmarāñ haiñ
Nazm
tarana-e-reKHta
dukh ko samt-shanāsā.ī dī ġham ke qurbat-dāroñ ne
dil dhārā dariyā mil kar bahra-mand huā
Ghazal
rizq ka jab nadaron par darwaza band hua
huā ḳhatm dariyā to sahrā lagā
safar kā tasalsul kahāñ jā lagā
Ghazal
hua KHatm dariya to sahra laga
mujh shanāvar ko Dubo sakte nahīñ donoñ harīf
maiñ bhī tūfān kā dariyā kā hunar jaan gayā
Ghazal
jang mein jaega ab mera hi sar jaan gaya
kahīñ dariyā kahīñ vaadī kahīñ kohsār banī
kahīñ sho.ala kahīñ shabnam kahīñ gulzār banī
Qita
kahin dariya kahin wadi kahin kohsar bani
umr bhar manzar-nigārī ḳhuun meñ utrī rahī
phir bhī āñkhoñ ke muqābil ek dariyā rah gayā
Ghazal
KHwahishen itni baDhin insan aadha rah gaya
qatra huuñ maiñ vus.at de dariyā kar de
tū chāhe to sāgar ko sahrā kar de
Ghazal
qatra hun main wusat de dariya kar de
dil ko dariyā ko baḌī der huī ḳhushk hue
koī bādal hī mirī pyaas bujhāne aa.e
Ghazal
waqt ki qaid se aazad karane aae
zindagī kā diyā huā chehrā ishq-dariyā meñ dho ke aa.e haiñ
'farhatūllāh'-ḳhāñ ga.e the vahāñ farhat-ehsās ho ke aa.e haiñ
Sher
zindagi ka diya hua chehra ishq-dariya mein dho ke aae hain
peḌ kā saayā nahīñ TuuTā huā patta huuñ
mujh ko jazbāt ke dariyā meñ na Thahrāyā kar
Ghazal
bar bar ek hi nazzara na dikhlaya kar
ham-kinārī kī havas ai gauhar-e-yaktā ye hai
aab ho kar ġham se dil dariyā hamārā ho gayā
Ghazal
chand sa chehra jo us ka aashkara ho gaya
bahne lagūñ kināroñ ko chhūte hue kahīñ
dariyā ke lahr lahr machalne meñ aa rahūñ
Ghazal
suraj nikalne sham ke Dhalne mein aa rahun
maujeñ dariyā ke siine par kyā likhtī haiñ
sochā to maiñ andar andar zaḳhmī hogā
Ghazal
phulon ko chhune se nashtar zaKHmi hoga
uryāñ na vo nahāyā hammām ho ki dariyā
chashm-e-hubāb ne bhī us kā badan na dekhā
Ghazal
tujh tak guzar kisi ka ai gul-badan na dekha
tairne ke liye dariyā bhī hai kaafī lekin
shauq kahtā hai samundar bhī mujhe chāhiye hai
Ghazal
dasht mein ghas ka manzar bhi mujhe chahiye hai
os kī buuñd bhī ab sañg-sifat lagtī hai
phuul ke baaġh ko dil aag kā dariyā jaane
Ghazal
kyun pareshan hua jata hai dil kya jaane
dhuup kī gard fazāoñ meñ diloñ meñ tābūt
har nafas ḳhud ko bas ik aag kā dariyā jaane
Ghazal
kyun pareshan hua jata hai dil kya jaane
duur tak Thahrā huā jhiil kā paanī huuñ maiñ
terī parchhā.īñ jo paḌ jaa.e to dariyā ho jā.ūñ
Ghazal
apni hasti ko miTa dun tere jaisa ho jaun

Top Urdushayar.com