Tags-Dhoka

taḌāve ke liye hai ḳhvān posh mahr-o-mah nādāñ
fareb-e-charḳh mat khānā kahīñ, ye ḳhvān ḳhālī hai
Sher
taDawe ke liye hai KHwan posh mahr-o-mah nadan
rañgīnī-e-jamāl fareb-e-ḳhayāl hai
'tālib' vagarna dil meñ tamannā kahāñ rahe
Ghazal
ek yaadgar chahiye koi nishan rahe
fusūñ-shanās huuñ maiñ rañg-o-bū samajhtā huuñ
fareb-ḳhurda-e-rañgīnī-e-bahār nahīñ
Ghazal
kaha ye kis ne mujhe zindagi se pyar nahin
umr bhar duniyā ko samjhātā rahā
ḳhud fareb-e-zindagī khātā rahā
Ghazal
umr bhar duniya ko samjhata raha
pūchhte haiñ de ke mujh ko dost-dārī kā fareb
'kirshn'-mohan dostoñ se is qadar e'rāz kyuuñ
Ghazal
hum to ab jati ruten hain humse ye ighmaz kyun
āgahī kyā hai musalsal ḳhud-farebī kā chalan
raushnī kyā hai fareb mustaqil khāne kā naam
Ghazal
ek dilkash zahr se labrez paimane ka nam
ajiib moḌ thā tark-e-ta.alluqāt kā vo
jab apne-āp se ham ne fareb khāyā thā
Ghazal
jab apne-ap ko malbus mein chhupaya tha
vafā kī tash.hīr karne vaalā fareb-gar hai sitam to ye hai
nigāh-e-yārāñ meñ phir bhī vo shaḳhs mo'tabar hai sitam to ye hai
Ghazal
wafa ki tashhir karne wala fareb-gar hai sitam to ye hai
ye pur-fareb sitāre ye bijliyoñ ke charāġh
javāb-e-jalva-e-ḳhurshīd ho nahīñ sakte
Qita
ye pur-fareb sitare ye bijliyon ke charagh
ḳhizar kā saath diye jā qadam baḌhā.e jā
fareb khaa.e hue kā fareb khaa.e jā
Ghazal
kabhi zamin pe kabhi aasman pe chhae ja
ab kyā fareb dījiye aur kis ko dījiye
ab kyā fareb khā.iye aur kis se khā.iye
Ghazal
jo zindagi bachi hai use mat gawaiye
duniyā kā na khā fareb vīrāñ hai ye
rāhat se na dil lagā ki mehmāñ hai ye
Rubaai
duniya ka na kha fareb viran hai ye
yuuñ to bahut haiñ aur bhī ḳhūbān-e-dil-fareb
par jaise pur-fan aap haiñ kam aise shaḳhs haiñ
Ghazal
waqif hain hum ki hazrat-e-gham aise shaKHs hain
nigāh-e-bad-gumāñ hai aur maiñ huuñ
fareb-e-āshiyāñ hai aur maiñ huuñ
Ghazal
nigah-e-bad-guman hai aur main hun
fareb ġham hī sahī dil ne aarzū kar lī
burā hī kyā hai agar terī justujū kar lī
Ghazal
fareb gham hi sahi dil ne aarzu kar li
har dil-fareb chiiz nazar kā ġhubār hai
āñkheñ hasīn hoñ to ḳhizāñ bhī bahār hai
Sher
har dil-fareb chiz nazar ka ghubar hai
bazm-e-tarab bisāt-e-masarrat fareb haiñ
maiñ aish-e-musta.ār kā qaa.el nahīñ rahā
Ghazal
kaif-e-surur-o-soz ke qabil nahin raha
ḳhizāñ meñ lāla-o-gul kā bharam bhī khul hī jaatā hai
hamesha to fareb-e-gulistāñ baaqī nahīñ rahtā
Ghazal
kamal-e-ishq mein soz-e-nihan baqi nahin rahta
rāste bhī fareb dete haiñ
jab koī ham-safar nahīñ hotā
Ghazal
tum sa gar rahbar nahin hota
fareb-e-ārzū pe aur e'tibār ke liye
uThāo jaam vaqt kam hai vaqt ho chukā bahut
Ghazal
dhup aisi tez dhup garm hai faza bahut

Top Urdushayar.com