Tags-Gham

shīsha-e-ḳhālī na dekhā sāqiyā kuchh ġham nahīñ
taak ke resha-ba-resha shīsha shīsha hai sharāb
Ghazal
kijiye rindi ka pesha shisha shisha hai sharab
mujh se milne shab-e-ġham aur to kaun aa.egā
merā saaya hai jo dīvār pe jam jā.egā
Ghazal
mujhse milne shab-e-gham aur to kaun aaega
jāgtā zehn ġham kī dhuup meñ thā
chhāñv paate hī so gayā jaise
Ghazal
dil ka har dard kho gaya jaise
mujhe bichhaḌne kā ġham to rahegā ham-safro
magar safar kā taqāzā judā hai mere liye
Ghazal
tamam rasta phulon bhara hai mere liye
pūchhe agar koī to use kyā batāoñ maiñ
dil kyā thaa, tere ġham ne ise kyā banā diyā
Ghazal
shabnam ko ret phul ko kanTa bana diya
ab bhī 'hinā' sahegā na-jāne vo kitne ġham
qismat meñ us kī hai likhī ye be-gharī abhī
Ghazal
kuchh to hamare darmiyan hai dil-lagi abhi
dard kī kitāboñ meñ haath kī lakīroñ meñ
ham ne pā ke dekhā hai ġham kahāñ nahīñ milte
Ghazal
zindagi ke sahra mein kuchh nishan nahin milte
'hairat' ke ġham-kade meñ ḳhushī kā guzar kahāñ
aap aa ga.e to raunaq-e-kāshāna ho ga.ī
Sher
hairat ke gham-kade mein KHushi ka guzar kahan
mat pūchh ki kyā rañg hai zabt-e-ġham-e-dil meñ
har ashk jo piitā huuñ vo hiire kī kanī hai
Ghazal
aao ki abhi chhanw sitaron ki ghani hai
bichhaḌte vaqt to kuchh us meñ ġham-gusārī thī
vo aañkh phir to har ik kaifiyat se aarī thī
Ghazal
bichhaDte waqt to kuchh usMein gham-gusari thi
rafta rafta sab sāthī saath chhoḌ aa.e the
dasht-e-ġham meñ kaaTī hai maiñ ne zindagī tanhā
Qita
rafta rafta sab sathi sath chhoD aae the
agar ho vaqt kabhī aa ke dekh jaanā zarā
tumhāre ġham meñ koī be-qarār ab bhī hai
Ghazal
hamare dil mein wahi aks-e-yar ab bhi hai
ajiib log haiñ us par savāl karte haiñ
kabhī to socheñ ki āḳhir vo ġham-zada kyuuñ hai
Ghazal
ye dard ka hai musalsal jo silsila kyun hai
yaañ kise ġham hai jo girya ne asar chhoḌ diyā
ham ne to shaġhl hī ai dīda-e-tar chhoḌ diyā
Ghazal
yan kise gham hai jo girya ne asar chhoD diya
ro tū 'hātim' 'husain' ke ġham meñ
aur ronā to raañD ronā hai
Ghazal
fikr mein muft umr khona hai
ranj-o-ġham se milāyā thā tū ne mujhe
tū batā dard meñ kyoñ kamī chhoḌ dī
Ghazal
zinda rahte hue zindagi chhoD di
ġham kī nahīñ āvāz koī
kāġhaz kaale kartā chal
Ghazal
apni dhup mein bhi kuchh jal
ġham kī bastī ajiib bastī hai
maut mahñgī hai jaan sastī hai
Ghazal
gham ki basti ajib basti hai
ġham hai khāne ko ashk piine ko
ishq meñ kyā farāġh-e-dastī hai
Ghazal
gham ki basti ajib basti hai
ġham kī band muTThī meñ ret sā mirā jīvan
jab zarā kasī muTThī zindagī bikhartī hai
Sher
gham ki band muTThi mein ret sa mera jiwan

Top Urdushayar.com