Tags-Ghar

na apne ghar meñ mujhe ġhair se milā ai huur
bahisht meñ ye azāb-e-fishār hotā hai
Ghazal
na gul na sarw miyan-e-bahaar hota hai
paḌe haiñ gate-way-of-india ke farsh par be-ghar bhikārī
udhar haiñ kuchh juārī
Nazm
bambai raat samundar
chamak vaisī na māthe par damak vaisī na chehre par
sitāre kis ke ghar jaane luTā aa.ī hai raat apne
Ghazal
hain sare inkishaf apne hain sare mumkinat apne
mausam ke badalne kā kuchh andāza bhī hotā
jab ghar hī banāyā thā to darvāza bhī hotā
Ghazal
mausam ke badalne ka kuchh andaza bhi hota
ye do-dilī meñ rahā ghar na ghaaT kā 'anjum'
butoñ ko kar na sakā ḳhush ḳhudā ko pā na sakā
Ghazal
adu to kya ye falak bhi use sata na saka
chīḳhtā khañDar hai rotī hai havelī dil kī
ghar ye āseb-zada hai tire jaane ke baad
Ghazal
aaina ruTh gaya hai tere jaane ke baad
ghar meñ dīpak hī jalā hai na koī sham-e-vafā
muddatoñ dil hī jalā hai tire jaane ke baad
Ghazal
aaina ruTh gaya hai tere jaane ke baad
maiñ tarah Dālūñ agar soch kar kahīñ ghar kī
to āsmāñ ho mire haq meñ vo zamīñ ghar kī
Sher
main tarah Dalun agar soch kar kahin ghar ki
kyā hī rizvāñ se laḌā.ī hogī
ghar tirā ḳhuld meñ gar yaad aayā
Ghazal
phir mujhe dida-e-tar yaad aaya
koī vīrānī sī vīrānī hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayā
Ghazal
phir mujhe dida-e-tar yaad aaya
huā maiñ ḳhaak to vo laḌ rahā hai āñdhī se
ki tere saath mire ghar ġhubār kyuuñ aayā
Ghazal
jafa pe shukr ka ummid-war kyun aaya
hotā hai mire dil meñ hasīnoñ kā guzar bhī
ik anjuman-e-nāz hai allāh kā ghar bhī
Sher
hota hai mere dil mein hasinon ka guzar bhi
aisī tanhā.ī ki ghar dasht lage
aisā sannāTā agar patta hile
Nazm
mohabbat ka faqir
phir gayā yaar ghar ke paas aa kar
baḳht-e-bargashta ne burā.ī kī
Ghazal
ek aalam ne jubba-sai ki
ye ghar koī mehmān-sarā to nahīñ jis meñ
ik pal bhī na Thahro use ābād bhī rakkho
Ghazal
ishq us se kiya hai to ye gar yaad bhi rakkho
jalāo ghar kī muñDeroñ pe chashm-o-dil ke diye
bahāo giit birah ke bahut añdherā hai
Ghazal
hua kare jo andhera bahut ghanera hai
ghar se nikal ke shahr ke raste ko ghūrnā
phir ġham-zada sī nazm ke misre ko ghūrnā
Ghazal
ghar se nikal ke shahr ke raste ko ghurna
terā dar chhoḌ ke maiñ aur kidhar jā.ūñgā
ghar meñ ghir jā.ūñgā sahrā meñ bikhar jā.ūñgā
Ghazal
kaun kahta hai ki maut aai to mar jaunga
ek ālī-shān ghar rakhtā hai vo
phir bhī ḳhud ko dar-ba-dar rakhtā hai vo
Ghazal
lab pe harf-e-motabar rakhta hai wo
aadmī se ho ga.ī haiñ nafrateñ
ghar meñ jañgalī jānvar rakhtā hai vo
Ghazal
lab pe harf-e-motabar rakhta hai wo

Top Urdushayar.com