Tags-Imprisonment

kahānī maiñ sunātī roz ik us ko rihā.ī kī
qafas meñ qaid dil ko ḳhvāb dikhlānā zarūrī thā
Ghazal
parindon ka shajar ko chhoD kar jaana zaruri tha
kiyā botal meñ dil ko qaid phir pheñkā samundar meñ
mire siine se dil kā duur ho jaanā zarūrī thā
Ghazal
parindon ka shajar ko chhoD kar jaana zaruri tha
hazāroñ hasrateñ haiñ ḳhvāhisheñ haiñ qaid jab dil meñ
mujhe pā kar tirā un ko bhī to paanā zarūrī thā
Ghazal
parindon ka shajar ko chhoD kar jaana zaruri tha
qaid mere jism ke andar koī vahshī na ho
saañs letā huuñ to aatī hai sadā zanjīr kī
Ghazal
harf-e-be-matlab ki maine kis qadar tafsir ki
zaat maz.hab ki zabāñ naam usī ke to haiñ sab
ḳhud ko jis qaid se tā-umr chhuḌāyā na gayā
Ghazal
aasman mil na saka dharti pe aaya na gaya
isī ummīd pe marmar ke jiye jaatā huuñ
vo mirī qaid se kab degā rihā.ī mujh ko
Ghazal
thak ke baiTha tha ki manzil nazar aai mujhko
tanhā.ī kī ḳhalīj hai yuuñ darmiyān meñ
har shaḳhs jaise qaid ho andhe makān meñ
Ghazal
tanhai ki KHalij hai yun darmiyan mein
ye kyā ki shab kī asīrī meñ qaid ho jaa.eñ
yaqīñ hai jabki ruḳh-e-māhtāb baaqī hai
Ghazal
kai azab-ruton ka itab baqi hai
jakaḌ ke sāñsoñ meñ tash.hīr ho rahī hai mirī
maiñ ek qaid sipāhī huuñ jañg haarā huā
Ghazal
ab is jahan-e-barhana ka istiara hua
sau baras kī umr le kar kyā karūñ
chain kā be-qaid lamha bhej de
Ghazal
ek muTThi ek sahra bhej de
qaid kī muddat baḌhī chhuTne kī jab tadbīr kī
roz badlī jaatī haiñ kaḌiyāñ mirī zanjīr kī
Sher
qaid ki muddat baDhi chhuTne ki jab tadbir ki
qaid-e-bayāñ meñ aa.e jo nā-guftanī na ho
vo rābta ki qalb kī gahrā.iyoñ se hai
Ghazal
ye jalwa-gah-e-naz tamashaiyon se hai
aaj tū kar le mujhe qaid musavvir mere
kal maiñ tasvīr ke rañgoñ se nikal ā.ūñgā
Ghazal
dil mein chalti hui jangon se nikal aaunga

Top Urdushayar.com