Tags-Imprisonment

qaid-e-sayyād meñ bulbul kā chahaknā na gayā
ab bhī samjhī na sabab apnī giraftārī kā
Sher
qaid-e-sayyaad mein bulbul ka chahakna na gaya
qaid-e-ulfat kā maza zulf-e-girah-gīr meñ hai
bas yahī rañg mire ḳhvāb kī ta.abīr meñ hai
Ghazal
qaid-e-ulfat ka maza zulf-e-girah-gir mein hai
ishq uḌānoñ kā dushman hai kyā us ko ma.alūm na thā
dil kā panchhī qaid meñ aa kar kyuuñ itnā hairān huā
Ghazal
dil ke dard ke kam hone ka tanha kuchh saman hua
hazār qaid-e-ḳhizāñ se chhuT kar bahār kā aasrā kareñge
bahār bhī ham-qafas-zadoñ ko na raas aa.ī to kyā kareñge
Ghazal
hazar qaid-e-KHizan se chhuT kar bahaar ka aasra karenge
ek mayyat kī tarah lagtā thā
chāñd jab qaid-e-sahar se niklā
Ghazal
ashk jab dida-e-tar se nikla
ajab vo shaḳhs hai us kī mohabbat bhī nirālī hai
jo pahle qaid kar ke ba.ad meñ āzād kartā hai
Ghazal
kabhi aabaad karta hai kabhi barbaad karta hai
koī aa kar nahīñ jaatā diloñ ke āshiyānoñ se
rihā.ī kā koī rasta nahīñ in qaid-ḳhānoñ se
Ghazal
koi aa kar nahin jata dilon ke aashiyanon se
kuchh is adā se vo mere dil-o-nazar meñ rahā
ba-qaid-e-hosh bhī maiñ ālam-e-digar meñ rahā
Ghazal
kuchh is ada se wo mere dil-o-nazar mein raha
qaid meñ hai tire vahshī ko vahī zulf kī yaad
haañ kuchh ik ranj-e-girāñ-bāri-e-zanjīr bhī thā
Ghazal
hui taKHir to kuchh bais-e-taKHir bhi tha
mujhe qaid karne kī zahmateñ na uThā.iye
nahīñ ā.ūñgā kisī jaal meñ nahīñ ā.ūñgā
Ghazal
nahin aasman teri chaal mein nahin aaunga
kyā kahūñ darpai-e-āzār hai duniyā 'shāhīn'
aadmī qaid-e-zamāna se nikaltā hī nahīñ
Ghazal
gham ke sunsan bayaban se nikalta hi nahin
tanhā.ī kī rānoñ meñ
sub.h talak maiñ qaid rahā
Ghazal
wo tum tak kaise aata
na qaid-e-shar.a baaqī hai na āzādī kī hai kuchh had
nahīñ kuchh guftugū is baab meñ ye nek hai yā bad
Mukhammas
na qaid-e-shara baqi hai na aazadi ki hai kuchh had
bulbul ko bāġhbāñ se na sayyād se gila
qismat meñ qaid likkhī thī fasl-e-bahār meñ
Sher
bulbul ko baghban se na sayyaad se gila
ḳhud qaid-e-vafā kaaT ke dī us ko rihā.ī
'bāno' ye tire dil kī adālat bhī ajab hai
Ghazal
chaha hai ajab Dhang se chahat bhi ajab hai
gharoñ meñ qaid haiñ bastī ke shorafā
saḌak par haiñ fasādī aur ġhunDe
Sher
gharon mein qaid hain basti ke shorafa
muddateñ qaid meñ guzrīñ magar ab tak sayyād
ham asīrān-e-qafas taaza giraftār se haiñ
Sher
muddaten qaid mein guzrin magar ab tak sayyaad
qaid haiñ jin meñ shām-o-sahar
jis ne rakkhā qadam
Nazm
bulbulon ke mahl
maiñ divānā huuñ sadā kā mujhe mat qaid karo
jī nikal jā.egā zanjīr kī jhankār ke saath
Sher
main diwana hun sada ka mujhe mat qaid karo
arsa-e-qaid-e-hayāt ab vahshiyoñ par tañg hai
chaar dīvār-e-anāsir mil ke zindāñ ho ga.iiñ
Ghazal
kaisi kaisi bastiyan do din mein viran ho gain

Top Urdushayar.com