Tags-Ishq

ishq meñ maut se miltī hai hayāt-e-abadī
ishq kī maut to anjām bhī āġhāz bhī hai
Ghazal
mere nalon mein nihan soz bhi hai saz bhi hai
us ne nazreñ uThā ke dekh liyā
ishq kī jur.at-e-nigāh ga.ī
Ghazal
KHalish-e-tir-e-be-panah gai
tanhā chaleñ haiñ ma.arka-e-ishq jhelne
un kī taraf ḳhudā.ī hai koī idhar nahīñ
Ghazal
rulwa ke mujhko yar gunahgar kar nahin
ḳhālī safā.ī-qalb se behtar hai dāġh-e-ishq
kyā aib hai ki jis ke muqābil hunar nahīñ
Ghazal
rulwa ke mujhko yar gunahgar kar nahin
maidān-e-vafā darbār nahīñ yaañ nām-o-nasab kī pūchh kahāñ
āshiq to kisī kā naam nahīñ kuchh ishq kisī kī zaat nahīñ
Ghazal
kab yaad mein tera sath nahin kab hat mein tera hat nahin
gar baazī ishq kī baazī hai jo chāho lagā do Dar kaisā
gar jiit ga.e to kyā kahnā haare bhī to baazī maat nahīñ
Ghazal
kab yaad mein tera sath nahin kab hat mein tera hat nahin
is bahāne ke ba.ad kaisā ishq
bhuul jaane ke ba.ad kaisā ishq
Ghazal
is bahane ke baad kaisa ishq
ya.anī tum mujh ko āzmāoge
āzmāne ke ba.ad kaisā ishq
Ghazal
is bahane ke baad kaisa ishq
zabt to asl hai mohabbat kī
ġham jatāne ke ba.ad kaisā ishq
Ghazal
is bahane ke baad kaisa ishq
ye tirā vahm hai faqat ik vahm
tere jaane ke ba.ad kaisā ishq
Ghazal
is bahane ke baad kaisa ishq
ik kamī kā kasak kā naam hai ye
ishq paane ke ba.ad kaisā ishq
Ghazal
is bahane ke baad kaisa ishq
kam na thā ishq azal se rusvā
kar diyā aur bhī rusvā ham ne
Ghazal
KHwab-e-didar na dekha humne
havā-e-ishq ne bhī gul khilā.e haiñ kyā kyā
jo merā haal thā vo terā haal hone lagā
Ghazal
nae zamane mein ab ye kamal hone laga
is ishq meñ kyā khoyā is dard se kyā paayā
tum ne nahīñ pūchhā bhī ham ne nahīñ sochā bhī
Ghazal
be-faiz ajab nikli ye fasl-e-tamanna bhi
jīteñge na ham se bāzi-e-ishq
aġhyār ke piT paḌeñge pāñse
Sher
jitenge na humse bazi-e-ishq
havas meñ kuchh bhī kar sakte ho
ishq meñ pābandī rakkhī hai
Ghazal
chehre pe thoDi rakkhi hai
mujh se kis ne ishq kiyā hai kaun mirā mahbūb huā
mere sab afsāne jhūTe saare sher ḳhayālī haiñ
Ghazal
chehre shadabi se aari aankhen nur se Khaali hain
gar imtihān-e-ishq ho manzūr to abhī
kartā huuñ maiñ niyāz dil o jaan lījiye
Ghazal
kya bad-gumaniyan hain meri jaan lijiye
raat bhar jaagā kiye palkeñ na jhapkīñ ham ne
raat bhar ishq ke āzār ne sone na diyā
Ghazal
garmi-e-pahlu-e-dildar ne sone na diya
kabhī na ho sakī iz.hār-e-ishq kī jur.at
ye aur baat ka.ī sūratoñ ne man ko chhuā
Ghazal
laga ki jaise kisi kanpte hiran ko chhua

Top Urdushayar.com