Tags-Ishq

vafūr-e-be-ḳhudī-e-ishq ke rumūz na pūchh
ka.ī dafa to tirā naam bhī na yaad aayā
Sher
wafur-e-be-KHudi-e-ishq ke rumuz na puchh
vo ishq thā ki bandagī zarūrateñ kī āgahī
bas ek rabt thā jo ustuvār kar liyā gayā
Ghazal
nazar jo aaya us pe eatibar kar liya gaya
hijr kī aag meñ jalne se nahīñ Dartī maiñ
ishq mujh meñ abhī be-ḳhauf-o-ḳhatar baaqī hai
Ghazal
hijr mein bhi ye meri sans agar baqi hai
mere tinke bhī hue raakh to kyā harj bhalā
ātish-e-ishq batā kitnā ye ghar baaqī hai
Ghazal
hijr mein bhi ye meri sans agar baqi hai
kahāñ barq-e-ishq o kahāñ koh-e-sabr
bagūle ke aage par-e-kāh hai
Ghazal
sanam pas hai aur shab-e-mah hai
maraz-e-ishq ko shifā samjhe
dard ko dard kī davā samjhe
Sher
maraz-e-ishq ko shifa samjhe
baneñge ishq-e-adālat meñ ham vakīl tire
purānī baat meñ nukta nayā nikāleñge
Ghazal
safar ka aur koi silsila nikalenge
hazār vādī-e-tārīk se guzartā huā
ye ishq chāhtā hai ho tirā muāsir bas
Ghazal
rah-e-wafa mein rahe ye nishan-e-KHatir bas
haañ sazā de ai ḳhudā-e-ishq ai taufīq-e-ġham
phir zabān-e-be-adab par zikr yaar aa hī gayā
Ghazal
kaam aaKHir jazba-e-be-iKHtiyar aa hi gaya
ho chalā ishq-e-majāzī pe haqīqat kā asar
aa chalā mujh ko nazar kasrat meñ vahdat kā asar
Ghazal
kab miTae se miTa ranj-o-suubat ka asar
ishq se maiñ Dar chukā thā Dar chukā to tum mile
dil to kab kā mar chukā thā mar chukā to tum mile
Ghazal
ishq se main Dar chuka tha Dar chuka to tum mile
is se sivā bhī ishq meñ kyā aur pā.iye
har ġham lage hai sahl ġham-e-āshiqī ke ba.ad
Ghazal
badla hua hai rang jahan mai-kashi ke baad
aa.e haiñ ġham-e-ishq meñ aise bhī maqāmāt
dil ḳhuun huā aañkh se aañsū bhī na Dhalke
Ghazal
ye shahr-e-rafiqan hai dil-e-zar sambhal ke
tāsīr-e-ishq dekho vo naama vaañ pahuñch kar
juuñ kāġhaz-e-havā.ī har sū uḌā phirā hai
Ghazal
chhati jala kare hai soz-e-darun bala hai
safar-e-ishq meñ badan us kā
duur se raushnī dikhā.e gayā
Ghazal
ghar mujhe raat bhar Darae gaya
gulū-e-ishq ko dār-o-rasan pahuñch na sake
to lauT aa.e tire sar-buland kyā karte
Ghazal
girani-e-shab-e-hijran do-chand kya karte
kahā ye ishq se dār-o-salīb-e-zindāñ ne
majāl ho to mirī raah iḳhtiyār na kar
Ghazal
gulon ki chah mein tauhin-e-barg-o-bar na kar
ishq kī aag sivā kis meñ hai ye kaun kahe
sham.a ke sīna-e-sozāñ meñ ki parvāne meñ
Ghazal
is qadar uski mudaraat hai virane mein
sham.a-rū jaañ bhī huī dil bhī huā tujh pe fidā
jal ga.e ishq ke hāthoñ se ye parvāne do
Ghazal
nash us aashiq-e-nashad ki uThwane do
pās-e-nāmūs-e-ishq thā varna
kitne aañsū palak tak aa.e the
Ghazal
ranj khinche the dagh khae the

Top Urdushayar.com