Tags-Khoon

aaj kyuuñ haath tire kaañp rahe haiñ saaqī
dekh to ḳhuun ġharīboñ kā tah-e-jām na ho
Ghazal
dastan kah ke pareshan dil-e-nakaam na ho
jaise zar kī pīlāhaT meñ mauj-e-ḳhūn utartī hai
zahr-e-zar ke tund nashe ne dīda-o-dil meñ utarnā hai
Ghazal
abhi mujhe ek dasht-e-sada ki virani se guzarna hai
āshīqī-o-ḳhuddārī bandagī-o-ḳhud-bīnī
aarzū kī rāhoñ meñ ḳhūn-e-ārzū kiije
Ghazal
shauq ka taqaza hai sharh-e-arzu kije
jhaTak rahī hai mirā ḳhuun apne dāman se
tumhārī teġh hai phir kyā vafā kī bū aa.e
Ghazal
haTe ye aaina mahfil se aur tu aae
ajab hai utre dam-e-zabh un kī aañkh meñ ḳhuun
kaTīñ kahāñ kī rageñ aur kahāñ lahū aa.e
Ghazal
haTe ye aaina mahfil se aur tu aae
ham ek tartīb se tumhārī udaas nazmoñ pe ro chuke haiñ
ki āñsuoñ aur ḳhuun ke beach DeḌh siskī kā sam rakhā thā
Ghazal
usi ne aadam ke naqsh-e-pa ko azal kiya tha bharam rakha tha
zaḳhm khāne se mire faḳhr-kunāñ hai ye dil
ḳhūn-e-dil se haiñ mire dīda-e-giryāñ nāzāñ
Ghazal
qaid-e-dil se hai meri kakul-e-pechan nazan
jab ye daave the ki har dukh kā mudāvā ho ga.e
kis liye tum bā.is-e-ḳhūn-e-tamannā ho ga.e
Ghazal
jab ye dawe the ki har dukh ka mudawa ho gae
ḳhuun jab ashk meñ Dhaltā hai ġhazal hotī hai
jab bhī dil rañg badaltā hai ġhazal hotī hai
Ghazal
KHun jab ashk mein Dhalta hai ghazal hoti hai
sher hotā hai shafaq meñ jo hinā rachtī hai
laala jab ḳhuun ugaltā hai ġhazal hotī hai
Ghazal
KHun jab ashk mein Dhalta hai ghazal hoti hai
'sāqī' yādoñ kī fasdoñ se jiitā jiitā ḳhuun bahe
maiñ rañgoñ kī fasleñ kaaT ke aaj apne ghar laayā huuñ
Ghazal
surKH chaman zanjir kiye hain sabz samundar laya hun
vo shaḳhs to shab-ḳhūn meñ maarā gayā varna
us jaisā bahādur koī lashkar meñ nahīñ thā
Ghazal
ehsas-e-ziyan hum mein se akasr mein nahin tha
dast-e-adū se shab jo vo sāġhar liyā kiye
kin hasratoñ se ḳhuun ham apnā piyā kiye
Ghazal
dast-e-adu se shab jo wo saghar liya kiye
tilism-e-lafz-o-ma.ānī ke pher meñ phañs kar
ba-shakl-e-nazm-o-ġhazal ḳhūn-e-dil bahā rahā huuñ
Ghazal
sarab-e-dil se musalsal fareb kha raha hun
yuuñ phir rahe haiñ jaise koī baat hī nahīñ
ālūda mere ḳhuun se dāmāñ kiye hue
Sher
yun phir rahe hain jaise koi baat hi nahin
dāman-e-vaqt pe ab ḳhuun ke chhīñTe na paḌeñ
ek markaz kī taraf dair-o-haram le ke chalo
Nazm
jawahar-lal nehru
har ḳhūn-e-jigar ke liye tayyār huuñ ab bhī
haarā huuñ na maiñ aur na haare haiñ ye aañsū
Nazm
aansu
apne liye bahāyā ḳhūn-e-jigar to kyā ġham
tere liye to rañgīñ afsāna ho gayā maiñ
Ghazal
tujhse nazar mila kar diwana ho gaya main
chāñd se paar koī raat baserā Daale
ham se pūchhe hai koī ḳhuun bahāyā apnā
Ghazal
humne dekha hai bhare shahr mein saya apna
abhī to lenā hai ham ko hisāb-e-shahr-e-qitāl
abhī to ḳhūn-e-gulū kā shumār baaqī hai
Ghazal
abhi to hausla-e-karobar baqi hai

Top Urdushayar.com