Tags-Khwab

ḳhvāb dekhne kī hasrat meñ tanhā.ī merī
āñkhoñ kī banjar dhartī meñ nīndeñ botī hai
Ghazal
jagta hun main ek akela duniya soti hai
din guzar jaate haiñ qurbat ke na.e rañgoñ se
raat par raat hai vo ḳhvāb purānā chāhe
Ghazal
wo agar ab bhi koi ahd nibhana chahe
noch Dālūñgī use ab ke yahī sochā hai
gar mirī aañkh koī ḳhvāb sajānā chāhe
Ghazal
wo agar ab bhi koi ahd nibhana chahe
koī ka.aba na kalīsā na sanam merā hai
ik na.e ḳhvāb kī dhartī pe qadam merā hai
Ghazal
koi kaba na kalisa na sanam mera hai
jis tarah ḳhvāb ke halke se dhundalke meñ koī
chāñd tāroñ kī tarah nuur sā barsātā hai
Qita
jis tarah KHwab ke halke se dhundalke mein koi
sadiyāñ jin meñ zinda hoñ vo sach bhī marne lagte haiñ
dhuup āñkhoñ tak aa jaa.e to ḳhvāb bikharne lagte haiñ
Sher
sadiyan jin mein zinda hon wo sach bhi marne lagte hain
chauñk paḌtā huuñ ḳhushī se jo vo aa jaate haiñ
ḳhvāb meñ ḳhvāb kī ta.abīr bigaḌ jaatī hai
Sher
chaunk paDta hun KHushi se jo wo aa jate hain
ḳhvāb tumhāre aate haiñ
niiñd uḌā le jaate haiñ
Ghazal
KHwab tumhaare aate hain
ḳhvāb kā kyā hai raat ke naqsh-o-nigār banāo
raat ke naqsh-o-nigār banāo ḳhvāb kā kyā hai
Sher
KHwab ka kya hai raat ke naqsh-o-nigar banao
mujh se behtar to mirā ḳhvāb thā jhūTā hī sahī
tire pahlū meñ jo ik raat basar kar aayā
Ghazal
mai-kashi chhoD di tauhin-e-hunar kar aaya
dekhā tujhe to āñkhoñ ne aivāñ sajā liye
jaise tamām kho.e hue ḳhvāb pā liye
Ghazal
dekha tujhe to aankhon ne aiwan saja liye
ḳhvāb kā jin na aa.egā bāhar
be-sabab aap aañkh malte haiñ
Ghazal
chaal apni ada se chalte hain
jo palkoñ par sajā kar aas ke kuchh ḳhvāb baiThe the
unheñ un kī tamannāoñ kā maz.har de diyā maiñ ne
Ghazal
rawani gham ki jis mein thi wo jauhar de diya maine
haiñ ḳhvāb bhī aur ḳhvāb kī ta.abīreñ bhī
haiñ husn bhī aur husn kī tanvīreñ bhī
Rubaai
hain KHwab bhi aur KHwab ki tabiren bhi
har ilm o yaqīñ hai ik gumāñ ai saaqī
har aan hai ik ḳhvāb-e-girāñ ai saaqī
Rubaai
har ilm o yaqin hai ek guman ai saqi
in daraḳhtoñ ke gahre ghane, ḳhvāb-ālud saa.e meñ
ḳhāmosh, hairān chaltā huaa... ek rasta
Nazm
ye rasta
niiñd aa.egī na un be-ḳhvāb āñkhoñ meñ kabhī
mujh ko thapkī dete dete aap so jā.egī raat
Ghazal
aur kis ka ghar kushada hai kahan Thahregi raat
āñkheñ haiñ magar ḳhvāb se mahrūm haiñ 'mid.hat'
tasvīr kā rishta nahīñ rañgoñ se zarā bhī
Ghazal
main dhund-fazaon mein uDa bhi hun gira bhi
ik aur āsmān chamaktā hai ḳhvāb meñ
ik aur kā.enāt kā ā.īna-dār huuñ
Ghazal
subh-e-wajud hun ki shab-e-intizar hun
ālam-e-ḳhvāb meñ hai jis kī hukūmat yaaro
vo samajhtā hai baġhāvat mirī bedārī ko
Ghazal
jo chala aata hai KHwabon ki taraf-dari ko

Top Urdushayar.com