Tags-Manzil

azm kī rah bhī vahī raah meñ kāñTe bhī vahī
duur kosoñ marī manzil kā nishāñ hai yaaro
Ghazal
zindagi silsila-e-wahm-o-guman hai yaro
justujū hī diloñ kī manzil thī
ham ne kho kar tujhe, tujhe paayā
Ghazal
sham-e-wada ka Dhal gaya saya
manzil-e-dil milī kahāñ ḳhatm-e-safar ke baad bhī
rahguzar ek aur thī rāhguzar ke baad bhī
Ghazal
manzil-e-dil mili kahan KHatm-e-safar ke baad bhi
be-niyāz-e-sukūn-e-manzil hai
zindagī irtiqā pe maa.il hai
Ghazal
be-niyaz-e-sukun-e-manzil hai
manzil vo ḳham-e-safar hai jis par
chorī sāmān ho gayā hai
Ghazal
manzar shamshan ho gaya hai
kashish mirī yahīñ manzil ko khīñch lā.egī
yahī to naaz hai mujh ko shikasta-pā huuñ maiñ
Ghazal
bina-e-sajda hun sajde ki ibtida hun main
ajal kā kaam nahīñ merī hall-e-mushkil meñ
ki manzil-e-ġham-e-hastī se baḌh gayā huuñ maiñ
Ghazal
bina-e-sajda hun sajde ki ibtida hun main
har mushkil meñ tū hī tū hai
raahī kī manzil meñ tū hai
Nazm
ek bhajan bachchon ke liye
koī manzil nahīñ baaqī hai musāfir ke liye
ab kahīñ aur nahīñ jā.egā ghar jā.egā
Sher
koi manzil nahin baqi hai musafir ke liye
shauq ne kī jo rahbarī dil kī
manzil-e-ishq tai huī dil kī
Sher
shauq ne ki jo rahbari dil ki
manzil-shanās ban na sakā maiñ to kyā huā
itnā to jāntā huuñ ki rāh-e-safar meñ huuñ
Ghazal
har dam kuchh iztirab ke aise bhanwar mein hun
din hai ki Dhal nahīñ rahā is reg-zār meñ
manzil bhale na aa.e kahīñ raat bhī to ho
Ghazal
haj ka safar hai isMein koi sath bhi to ho
talāsh-e-manzil-e-hastī meñ ik zamāna huā
bhaTakte phirte haiñ sab kārvān bhī ham bhī
Ghazal
teri talash mein hai saeban bhi hum bhi
hai intizār meñ barsoñ se rahnumāoñ ke
hamārī manzil-e-jāñ kā nishān bhī ham bhī
Ghazal
teri talash mein hai saeban bhi hum bhi
safar tavīl hai lekin yuuñ muḳhtasar kar luuñ
maiñ apnī dūrī-e-manzil ko ham-safar kar luuñ
Ghazal
pighalti shama se main KHud ko be-KHabar kar lun
ik shart-e-justujū bhī thī manzil ke vāste
ham ne bas aarzū ko hī kaafī samajh liyā
Ghazal
jaan ke ziyan ko gham ki talafi samajh liya
manzil se hai ye kaisī aqīdat ki safar meñ
raahī koī raste pe bharosa nahīñ kartā
Ghazal
main dasht mein gar KHud ko muhayya nahin karta
donoñ sañg-e-rāh-e-talab haiñ rāh-numā bhī manzil bhī
zauq-e-talab har ek qadam par donoñ ko Thukrātā jā
Ghazal
o dil toD ke jaane wale dil ki baat batata ja
zarā Thahro hameñ bhī saath le lo kārvāñ vaalo
agar tum se na pahchānī ga.ī manzil to kyā hogā
Sher
zara Thahro hamein bhi sath le lo karwan walo
kuchh añdhere haiñ abhī raah meñ haa.il 'aḳhtar'
apnī manzil pe nazar aa.egā insāñ ik roz
Sher
kuchh andhere hain abhi rah mein hail aKHtar

Top Urdushayar.com