Tags-Mehfil

jaatā huuñ use DhūñDne mahfil meñ adū kī
dekhūñ to bigaḌtī hai ye taqdīr kahāñ tak
Ghazal
ban ban ke bigaD jaegi tadbir kahan tak
kuchh ġhair kī jānib nigah-e-nāz kī had bhī
khātā rahe mahfil meñ koī tiir kahāñ tak
Ghazal
ban ban ke bigaD jaegi tadbir kahan tak
na sahī sohbat-e-firdaus jahannam hī sahī
mahfil-e-aish na ho anjuman-e-soz to ho
Ghazal
partaw-e-husn kahin anjuman-afroz to ho
tum mahv-e-ḳhud-ārā.ī meñ ālam-e-tanhā.ī
tum mahfil-e-ḳhalvat ho maiñ ḳhalvat-e-mahfil huuñ
Ghazal
zulmat-gah-e-dauran mein subh-e-chaman-e-dil hun
yūñhī hañste hue chhoḌeñge ġhazal kī mahfil
ek aañsū se ziyāda koī rone kā nahīñ
Sher
yunhi hanste hue chhoDenge ghazal ki mahfil
mujh ko ma.alūm nahīñ raunaq-e-mahfil kyā hai
dasht-e-tanhā.ī se dil merā nikaltā hī nahīñ
Ghazal
pahle hota tha bahut ab kabhi hota hi nahin
sham-e-mahfil huuñ na āshiq na maiñ bū-e-gul huuñ
mah-jabīñ kyuuñ mujhe āñchal kī havā dete haiñ
Ghazal
guzre wade ko wo KHud yaad dila dete hain
jaane vaale hamārī mahfil se
chāñd tāroñ ko saath letā jā
Qita
jaane wale hamari mahfil se
sair kī ham ne jo kal mahfil-e-ḳhāmoshāñ kī
na to begāna hī bolā na pukārā apnā
Sher
sair ki humne jo kal mahfil-e-KHamoshan ki
vo mahfil-e-rindāñ ho yā bazm-e-suḳhan-dāñ ho
ahbāb-parastī hai kahiye bhī to kyā kahiye
Ghazal
har aankh mein masti hai kahiye bhi to kya kahiye
is sher ko sunānā thā us shaḳhs ko mujhe
mahfil meñ aap kī ye sunānā paḌā mujhe
Ghazal
qurbat ke un dinon mein bhi jaana paDa mujhe
aur hote haiñ jo mahfil meñ ḳhamosh aate haiñ
āñdhiyāñ aatī haiñ jab hazrat-e-'josh' aate haiñ
Sher
aur hote hain jo mahfil mein KHamosh aate hain
mirā shauq-e-takallum mujh ko kis mahfil meñ le aayā
yahāñ to baat karne ko tarastī hai zabāñ merī
Ghazal
bayan ho kis tarah soz-o-alam ki dastan meri
ho kis zabāñ se mahfil-e-dildār kī sanā
vo āftāb-e-husn to anjum haiñ saare log
Ghazal
dushman hain wo bhi jaan ke jo hain hamare log
ye jo hañgāmoñ se marbūt hai mahfil merī
kaif-zā dil-rubā bulbul kī sadā thī kal tak
Ghazal
ek masum tamanna ki faza thi kal tak
āḳhirī manzar hī shab kā haath lag paayā mire
kal tirī mahfil meñ thoḌā der se pahuñchā thā maiñ
Ghazal
raushni ke saz-o-saman DhunDhta phirta tha main
ḳhudā rakhe tirī mahfil kī raunaqeñ ābād
nazārgī se nazar meñ kamī nahīñ aatī
Ghazal
samajh mein KHak ye jadugari nahin aati
maal agar le ke sabhī aa.e tirī mahfil meñ
mire āñchal meñ vafā thī maiñ vafā le ke chalī
Ghazal
us taraf se koi tufan hawa le ke chali
hai dekhnā hī merī taraf to ba-ehtiyāt
mahfil meñ pahle jā.eza-e-ḳhās-o-ām le
Ghazal
is iltifat par koi daman na tham le
mahfil meñ sab ke sāmne dād-e-ġhazal na de
yuuñ dil hī dil meñ shauq se lutf-e-kalām le
Ghazal
is iltifat par koi daman na tham le

Top Urdushayar.com