Tags-Mohabbat

tirī mohabbat kī ḳhair jis ne jalā ke ḳhāshāk-e-jism-o-jāñ ko
vo aag bhaḌkā.ī jis ne patthar ko ābgīna banā diyā hai
Ghazal
meri mohabbat mein sari duniya ko ek khilauna bana diya hai
na daulat kī talab thī aur na daulat chāhiye hai
mohabbat chāhiye thī bas mohabbat chāhiye hai
Ghazal
na daulat ki talab thi aur na daulat chahiye hai
kuchh mohabbat meñ ajab sheva-e-dil-dār rahā
mujh se inkār rahā ġhair se iqrār rahā
Ghazal
kuchh mohabbat mein ajab shewa-e-dil-dar raha
kahāñ kā ishq aur kaisī mohabbat
havasnākī kī ik manDī sajī hai
Ghazal
meri bipta bhi kitni dukh-bhari hai
mohabbat hai ki vo aks-e-masarrat
utar aayā mire qalb-e-hazīñ meñ
Ghazal
basai maine jo qalb-e-hazin mein
bahut kuchh pāoge duniyā meñ pyāre
mohabbat pāoge lekin hamīñ meñ
Ghazal
basai maine jo qalb-e-hazin mein
ai 'sirāj' ātish-e-mohabbat meñ
dil kuuñ apne kabāb dekhā huuñ
Ghazal
yar ko be-hijab dekha hun
mumkin nahīñ vo chāhne vāloñ ko na chāheñ
iḳhlās-o-mohabbat kā asar bhī hai koī chiiz
Ghazal
mana ki mera dil bhi jigar bhi hai koi chiz
betāb udhar aap pareshān idhar ham
aapas kī mohabbat kā asar bhī hai koī chiiz
Ghazal
mana ki mera dil bhi jigar bhi hai koi chiz
kahā na thā ki mohabbat kā tazkira na karo
kise ḳhabar thī ki me.arāj-e-zindagī kyā hai
Ghazal
hudud-e-zat mein auron ka zikr hi kya hai
chāhtā hai jo mohabbat meñ tarāmīm na.ī
merī āvāz meñ āvāz milā saktā hai
Ghazal
aasman khinch ke dharti se mila sakta hai
ye kaisā daur-daura hai qalam-rū-e-mohabbat meñ
butoñ kā hukm chaltā hai ḳhudā kī baat hotī hai
Ghazal
ada-e-husn ki husn-e-ada ki baat hoti hai
bahut ghāTe meñ hai urdu zabāñ kyoñ
mohabbat kī zabāñ hote hue bhī
Ghazal
makan se la-makan hote hue bhi
kahīñ kahīñ se mohabbat vasūl hone lagī
duā jo kī hī nahīñ thī qubūl hone lagī
Ghazal
kahin kahin se mohabbat wasul hone lagi
sadā-e-zarf to kānoñ meñ gūñjtī hī nahīñ
'niyāz' phir ye mohabbat meñ vahshateñ kaisī
Ghazal
hamare nam se un ko mohabbaten kaisi
TuuTe na magar silsila-e-daur-e-mohabbat
mujh ko na pilāo to piye jaao tumhīñ aur
Ghazal
dil se na wahi aur hain manzar na hamin aur
ġhair bhī sūñgh liyā karte haiñ aksar 'shārib'
ik mohabbat tirī har baat ke ā.īne meñ
Ghazal
mat KHuda DhunD sawalat ke aaine mein
ek zindān-e-mohabbat meñ hue ham bhī asiir
ḳhud ko har qaid se āzād kahāñ tak karte
Ghazal
log patthar ke the fariyaad kahan tak karte
yā ḳhudā ham ko ādmiyat de
mulk aur qaum kī mohabbat de
Nazm
dua

Top Urdushayar.com