Tags-Pani

yuuñ guzartā na tire sar se ye paanī 'ḳhāvar'
tū ne tūfān ko uThte hī jo rokā hotā
Ghazal
mohr ban kar jo main ek roz bhi ubhra hota
na maiñ dariyā na mujh meñ zo.am koī be-karānī kā
ki maiñ huuñ bulbule kī shakl meñ ehsās paanī kā
Ghazal
na main dariya na mujh mein zoam koi be-karani ka
jā kar vo apne shahr se us ko yaqīn hai
paanī pe koī naqsh banā kar hī aa.egā
Ghazal
koi payam ab na payambar hi aaega
paanī meñ aag dhyān se tere bhaḌak ga.ī
aañsū meñ kauñdtī huī bijlī jhalak ga.ī
Ghazal
pani mein aag dhyan se tere bhaDak gai
tishnagī hī tishnagī thī aur sahrā ke sarāb
aañkh paanī par thī lekin sāmne dariyā na thā
Ghazal
madrasa aawargi aur hath mein basta na tha
mīThe paanī kī naddī kyuuñ bahe samundar or
jis ke man meñ pyaar kā dhan ho kyuuñ le vo bairāg
Sher
miThe pani ki naddi kyun bahe samundar or
uTh ke paanī bhī na piite the jo shā.er apne ghar
daad kī ḳhātir vo 'zarrīñ' ke makāñ tak aa ga.e
Nazm
zaban tak aa gae
kyā ram sāñvare neñ 'ābrū' kuuñ dekh kar paanī
lagā barsāt kā mausam dekho yaaro chalī jāmun
Ghazal
hamare sanwle kun dekh kar ji mein jali jamun
itnā āsāñ nahīñ paanī se shabīheñ dhonā
ḳhud bhī ro.egā musavvir ye qayāmat kar ke
Sher
itna aasan nahin pani se shabihen dhona
rañgoñ se ThanDe paanī ke chashme banā diye
kāġhaz pe sāya-dār shajar bhī lagā diye
Ghazal
rangon se ThanDe pani ke chashme bana diye
is ko yuuñ mat marne de
apnī aañkh kā paanī rakh
Ghazal
jine mein aasani rakh
mere ḳhāme ko ye taufīq atā kar yārab
ḳhuun ko ḳhuun likhūñ paanī ko paanī likkhūñ
Ghazal
kahiye kin lafzon mein ashkon ki kahani likkhun
kahiye kin lafzoñ meñ ashkoñ kī kahānī likkhūñ
mo'tariz aap lahū par haiñ to paanī likkhūñ
Ghazal
kahiye kin lafzon mein ashkon ki kahani likkhun
mirī kahānī tirī kahānī se muḳhtalif hai
ki jaise āñkhoñ kā pānī, paanī se muḳhtalif hai
Ghazal
meri kahani teri kahani se muKHtalif hai
'amjad' kaisī aag lagī hai lafzoñ ke paanī meñ
ujlī ġhazleñ ho ga.iiñ kaalī aañkh meñ aañsū aa.e
Ghazal
chhai jo har su badli kali aankh mein aansu aae
azal se qaa.em haiñ donoñ apnī zidoñ pe 'mohsin'
chalegā paanī magar kināra nahīñ chalegā
Sher
azal se qaem hain donon apni zidon pe mohsin
havā ko bhī kabhī maiñ kaaT dūñgā
abhī paanī pe paanī likh rahā huuñ
Ghazal
tere aanchal ko dhani likh raha hun
aa mere andar aa
pavitra mahrān ke paanī
Nazm
jap
ab zo.af ke panja se nikalnā ma.alūm
piirī kā javānī se badalnā ma.alūm
Latiife
Shadi Ke Bad

Top Urdushayar.com