Tags-Pani

shikāyat aur to kuchh bhī nahīñ in āñkhoñ se
zarā sī baat pe paanī bahut barastā hai
Ghazal
zamana hai ki mujhe roz sham Dasta hai
log sāhil pe khaḌe DhūñDh rahe haiñ motī
bahte paanī meñ utarnā bhī nahīñ chāhte haiñ
Ghazal
shauq-e-izhaar hai karna bhi nahin chahte hain
'mahak' aañkh se Tapkā paanī bahut hai
nadāmat se aañsū bahāne lagī hai
Ghazal
koi KHushbu miTTi se aane lagi hai
chaḌhtā dariyā utar gayā maiñ bhī
sar se paanī guzar gayā maiñ bhī
Ghazal
chaDhta dariya utar gaya main bhi
dekh dariyā ko ki tuġhyānī meñ hai
tū bhī mere saath ab paanī meñ hai
Ghazal
dekh dariya ko ki tughyani mein hai
ye zamīñ chīḳhtī rahtī hai ki paanī paanī
koī tūfāñ koī sailāb hī laa.e bādal
Ghazal
ek jag bit gaya jhum ke aae baadal
kyā jog samādhī-o-rasdhī kyā kashf-o-karāmat jazb-o-junūñ
sab aag havā paanī miTTī sab daal namak aur aaTā hai
Ghazal
har aankh lahu sagar hai miyan har dil patthar sannaTa hai
maiñ dariyā huuñ magar kitnā satāyā jā rahā huuñ
ki bastī roz aa ke merā paanī kāTtī hai
Ghazal
koi samjhao dariya ki rawani kaTti hai
aaḌ meñ tafrīh kī tum chhoḌ do aiyyāshiyāñ
varna phir paanī samundar kā bahā le jā.egā
Ghazal
aadmi KHud ko bhala kaise bacha le jaega
aao chaleñ favvāra dekheñ
paanī kā nazzāra dekheñ
Nazm
fawwara
un ko sharh-e-ġham sunā.ī jā.egī
aag paanī meñ lagā.ī jā.egī
Ghazal
un ko sharh-e-gham sunai jaegi
tum bhī likhnā tum ne us shab kitnī baar piyā paanī
tum ne bhī to chhajje uupar dekhā hogā puurā chāñd
Ghazal
nil-gagan mein tair raha hai ujla ujla pura chand
chehre ko chhiḌkiyāv kiyā hai añjhū niiñ yuuñ
paanī ke dhāre kāTte haiñ juuñ karāre kuuñ
Ghazal
mat mehr seti hath mein le dil hamare kun
kañkar pheñk rahe haiñ ye andāza karne ko
Thahrā paanī kitnī 'humairā' halchal rakhtā hai
Sher
kankar phenk rahe hain ye andaza karne ko
zahr bhī ho to vo tiryāq samajh kar pī le
kisī pyāse ke agar sāmne paanī aa.e
Ghazal
samne jab koi bharpur jawani aae
khulīñ jo āñkheñ to sar pe niilā falak tanā thā
chahār-jānib siyāh paanī kī tund maujoñ kā ġhalġhala thā
Nazm
samundar aasman aur main
safar meñ yūñhī jhulastā rahā ḳhabar na huī
ki ThanDe paanī kā chashma bhī rahguzār meñ thā
Ghazal
hazaron sal se main jis ke intizar mein tha
na.ī chañdariyā phaTī gaDariyā sab dhobī ke ghaaT pe jaa.e
sab ke mail ko ik paanī se dhone vaalā hotā hai
Ghazal
kyun ro ro kar nain ganwaen rone se kya hota hai
mere mashkīze meñ paanī nahīñ thā
mere paañv nañge the
Nazm
nazm
''mashkīze kā paanī usī ret par Daal do
aur nañge paañv mere pīchhe chale aao''
Nazm
nazm

Top Urdushayar.com