Tags-Phool

anjām-e-imbisāt-e-chaman ke savāl par
itnā hañse ki phuul jigar-chāk ho ga.e
Ghazal
tare jo aasman se gire KHak ho gae
hañste rahe falak pe sitāre zamīñ pe phuul
achchhā huā ki umr milī muḳhtasar mujhe
Ghazal
apni KHabar nahin hai ba-juz is qadar mujhe
itnī thī ik nafas ke tabassum ke dāstāñ
nāzuk kalī thī phuul banī aur bikhar ga.ī
Ghazal
fasl-e-bahaar jaane ye kya gul katar gai
koī gulshan-parast kyā jaane
phuul meñ kis qadar haiñ vīrāne
Ghazal
le ke yaadon ke aaj nazrane
har nazar rañgīnī-e-ruḳh tak pahuñch kar rah ga.ī
phuul ab kis se kaheñ gulshan meñ zaḳhm-e-dil kī baat
Ghazal
KHun-e-nahaq thi faqat duniya-e-ab-o-gil ki baat
shāḳheñ rahīñ to phuul bhī patte bhī ā.eñge
ye din agar bure haiñ to achchhe bhī ā.eñge
Sher
shaKHen rahin to phul bhi patte bhi aaenge
chalīñ vo āñdhiyāñ rishta zamīñ se TuuT gayā
ghanā daraḳht abhī phuul phal bhī saktā thā
Ghazal
zara si baat se manzar badal bhi sakta tha
simaT ga.ī to shabnam phuul sitāra thī
biphar ke merī lahar lahar añgāra thī
Sher
simaT gai to shabnam phul sitara thi
ye kab se mez pe ḳhālī dharā huā thā 'vasīm'
phir ek phuul se gul-dān kī tasallī huī
Ghazal
nahin ki KHwab-e-pareshan ki tasalli hui
navāh-e-jāñ meñ bhaTaktī haiñ ḳhushbueñ jis kī
vo ek phuul ki lagtā hai rāt-rānī hai
Ghazal
ab iKHtiyar mein maujen na ye rawani hai
phuul ne Tahnī se uḌne kī koshish kī
ik taa.ir kā dil rakhne kī koshish kī
Ghazal
phul ne Tahni se uDne ki koshish ki
kāġhaz kī katranoñ ko bhī kahte haiñ log phuul
rañgoñ kā e'tibār hī kyā sūñgh ke bhī dekh
Ghazal
murjha ke kali jhil mein girte hue bhi dekh
surḳh āñchal meñ dahakte phuul kī sūrat 'suhail'
ab talak āñkhoñ meñ naqsha hai usī tasvīr kā
Ghazal
koi daulat ka pujari ho koi tadbir ka
bistar par kuchh phuul paḌe haiñ
āñgan meñ gul-dān paḌā hai
Ghazal
kaisa lamha aan paDa hai
bhuul paanā jise nahīñ mumkin
phuul ban kar hañsī se miltā hai
Ghazal
rishta-e-dil usi se milta hai
in par phuul nichhāvar karne vaalī jantā kyā jaane
akasr leader hāroñ vaale herā-pherī karte haiñ
Ghazal
chehre chand sitaron wale hera-pheri karte hain
us ne kahā ki phuul se titlī uḌā.iye
itnī sī baat par maiñ pareshān ho gayā
Ghazal
aankhen khulin ki wa dar-e-zindan ho gaya
gulshan meñ phuul khilte hī sad-chāk ho ga.e
rañgīn hādse the alamnāk ho ga.e
Ghazal
gulshan mein phul khilte hi sad-chaak ho gae
raqs kartī huī phir bād-e-bahārāñ aatī
phuul le kar vo mujhe ḳhud hī bulāne aate
Ghazal
kash wo pahli mohabbat ke zamane aate
chaman meñ phuul khile baaġh meñ bahār aa.ī
urūs-e-dahr ne goyā pahan liyā gahnā
Ghazal
jahan hai maktab-e-hasti sabaq hai chup rahna

Top Urdushayar.com