Tags-Raat

merī galī meñ raat ga.e
lahrātā ik saayā vo
Ghazal
saya mera saya wo
vo raat bhī din sī taaza rakhtā
shabnam kā jamāl us kā haq thā
Ghazal
kuchh din to malal us ka haq tha
mire nasīb meñ kyā aur kuchh likhā hī nahīñ
safar meñ rahtā huuñ ghar par maiñ rāt-bhar din-bhar
Ghazal
daraKHt dhup se laDta hai is qadar din-bhar
baat kuchh yuuñ hai ki kuchh yaad nahīñ hai ham ko
haañ magar raat ko ruḳhsat jo sitāre hue haiñ
Ghazal
jab se maddham meri qismat ke sitare hue hain
din agar mashġhaloñ meñ guzre bhī
terī yādoñ meñ raat hotī hai
Ghazal
pyar kahne ki baat hoti hai
merī mash.al se raat pighlī thī
sub.h tinkā sā maiñ hī bahtā huuñ
Ghazal
andhi basti mein ek ajuba hun
yuuñ bhī jab tak ġham se mar nahīñ jaatā maiñ
raat ga.e tak lauT ke ghar nahīñ jaatā maiñ
Ghazal
yun bhi jab tak gham se mar nahin jata main
raat kī aañkh meñ haiñ halke gulābī Dore
niiñd se palkeñ huī jaatī haiñ bhārī us kī
Ghazal
kuchh KHabar lai to hai baad-e-bahaari uski
tamām raat koī bhī na thā mire ghar meñ
lipaT ke soī thī tanhā.ī mere bistar se
Ghazal
jo dekhta hai mujhe aaine ke andar se
tez āñdhī raat añdhyārī akelā rāh-rau
baḌh rahā hai sochtā Dartā jhijaktā rāh-rau
Ghazal
tez aandhi raat andhyari akela rah-rau
kashmakash raat bhar rahī 'sāġhar'
kaun kis ko halāl kartā hai
Ghazal
shaKHs wo kya kamal karta hai
kyūñkar ham imtihān deñ so.eñge jā ke baaġh meñ
paḌhne ko aadhī raat tak koī hameñ jagā.e kyoñ
Ghazal
nam likha liya to phir karte ho hae hae kyon
ai sogvār yaad bhī hai tujh ko yā nahīñ
vo raat jab hayāt kī zulfeñ darāz thiiñ
Nazm
gunahgar
ho jaa.e ab na ḳhatm fasāna firāq kā
haiñ nūr-e-sub.h raat kī nairañgiyāñ kahāñ
Ghazal
dil ko nasib soz-e-gham-e-gulsitan kahan
dil jalāo ki taḳhayyul kā jahāñ raushan ho
tīrgī ḳhatm karo raat sañvar jaane do
Ghazal
dard ko zabt ki sarhad se guzar jaane do
raat din nāqūs kahte haiñ ba-āvāz-e-buland
dair se behtar hai kaaba gar butoñ meñ tū nahīñ
Ghazal
kaun sa tan hai ki misl-e-ruh isMein tu nahin
raat nahā.ī huī kabūtarī kī tarah merī khiḌkī meñ aa baiThtī hai
aur dete se bāteñ karne lagtī hai
Nazm
ain-ul-yaqin
jo ham se raat meñ tanhā.ī ham-kalām huī
sañvar gayā mire jazboñ kā aaj saarā ḳham
Ghazal
tujhe sunaun ghazal ya sunaun apna gham
dhūñDiye aks-e-'qamar' raat ke ā.īne meñ
aaj kī shab yahī irshād hamāre liye hai
Ghazal
phir wahi KHana-e-barbaad hamare liye hai
raat ne bādbān khol diyā
apnā sāmān le gayā sūraj
Ghazal
raushni karne aaya tha suraj

Top Urdushayar.com