Tags-Relationship

na ḳhākiyoñ se ta.alluq na qudsiyoñ se rabt
na ham zamīñ ke liye haiñ na āsmāñ ke liye
Ghazal
jo ku-e-dost ko jaun to pasban ke liye
aur phir dil ne us ko chhoḌ diyā
jab ta.alluq bahāl thā hī nahīñ
Ghazal
wo bichhaD kar niDhaal tha hi nahin
aise lagtā hai mirī jaan ta.alluq apnā
is mulāqāt se aage nahīñ jaane vaalā
Ghazal
shahr-e-sadmat se aage nahin jaane wala
vo ta.alluq ham ko qaid-e-ḳhvāb jaisā thā 'zahīr'
khul ga.iiñ āñkheñ to āsānī se bāhar aa ga.e
Ghazal
KHud mein utre aur tughyani se bahar aa gae
hamīñ ne tark-e-ta.alluq meñ pahl kī ki 'farāz'
vo chāhtā thā magar hausla na thā us kā
Ghazal
mizaj humse ziyaada juda na tha us ka
kiyā hai ibrat-misāl kaisā ḳhayāl-e-ibrat-nazar ne ham ko
kareñ ta.alluq kisī se kyā ham jo shakl dekhī guzishtanī hai
Ghazal
shahid-e-arman paDe hain bismil khaDa wo talwar ka dhani hai
kyā thī ḳhabar ki tark-e-ta.alluq ke baad bhī
ham ko vo shoḳh parda-nashīñ yaad aa.egā
Ghazal
parda haTa ke jab wo hasin muskuraega
tum se jab tark-e-ta.alluq kar liyā
dil to dil mujh se ḳhafā hai aa.ina
Ghazal
maslahat-KHu kab hua hai aaina
tumhārī yādoñ ke chaḌhte dariyā ko ḳhushk-sālī se kyā ta.alluq
tumhārī yādoñ kā chaḌhtā dariyā har ek mausam meñ bah rahā hai
Ghazal
tumhaare sine mein dil ke jaisa jo ek patthar dhaDak raha hai
ta.alluq hī nahīñ hai jin se merā
maiñ un ḳhadshāt meñ rakkhā huā huuñ
Ghazal
kahan din raat mein rakkha hua hun
lā-ta.alluq nazar aatā thā ba-zāhir lekin
shahr ko us ne mirī ḳhair-ḳhabar par rakkhā
Ghazal
ek qadam tegh pe aur ek sharar par rakkha
kuchh ta.alluq hī nahīñ jis kā mire hālāt se
mere mohsin terā ik ehsān mujh par aur hai
Ghazal
jo nazar aata nahin diwar mein dar aur hai
hamāre dil kā ta.alluq nahīñ zamāne se
sau apnī ḳhvāhish-e-duniyā uThā yahāñ se nikal
Ghazal
larazte TuTte girte hue jahan se nikal
ḳhudā aalam hai mazmūn-e-ḳhayālī haiñ tasavvur meñ
na mujh ko kuchh ta.alluq hai na merī us ko parvā hai
Ghazal
buton ka zikr karo waiz KHuda ko kis ne dekha hai
tujh meñ aur mujh meñ ta.alluq hai vahī
hai jo rishta saaz aur mizrāb meñ
Sher
tujh mein aur mujh mein talluq hai wahi
kyā baat hai ki tark-e-ta.alluq ke bāvajūd
ham ne tumhārā naam liyā hai kabhī kabhī
Ghazal
madhoshiyon se kaam liya hai kabhi kabhi
na.e sire se ta.alluq baneñge bigḌeñge
ki ab irāde haiñ ek ek baat karne ke
Ghazal
ab aur sanehe hum par nahin guzarne ke
umr bhar kaun nibhātā hai ta.alluq itnā
ai mirī jaan ke dushman tujhe allāh rakkhe
Sher
umr bhar kaun nibhata hai talluq itna
ta.alluq jo bhī rakkho soch lenā
ki ham rishta nibhānā jānte haiñ
Ghazal
ye shoale aazmana jaante hain
tark-e-ta.alluq kar ke zabāñ se dil kā jiinā mushkil hai
ye kaisā āhañg-e-vafā hai tum bhī chup ho ham bhī chup
Ghazal
KHamoshi bohran-e-sada hai tum bhi chup ho hum bhi chup

Top Urdushayar.com