Tags-Rind

tishna-labī kuchh aur baḌhī hai mai-ḳhvārī kī dhuum machī hai
āḳhir ham se riñd-e-balā-kash kaise pyaas bujhā.eñ aap
Ghazal
kaun bhala ye kahta hai KHud aa ke hum ko manaen aap
rind-o-zāhid shaiḳh-o-sūfī sab ke sab tishna hī the
kis ko dete mai-kada jab mo'atabar koī na thā
Ghazal
fikr mein Dube the sab aur ba-hunar koi na tha
zahe hayāt tabī.at hai e'tidāl pasand
nahīñ haiñ rind agar ham to pārsā bhī nahīñ
Ghazal
jo dekhiye to karam ishq par zara bhi nahin
suufī o riñd ke maslak meñ sahī laakh tazād
mastiyāñ ek sī vāraftagiyāñ ek sī haiñ
Ghazal
manzilen ek si aawargiyan ek si hain
ham rind ḳhāk-o-ḳhūñ meñ aTe haath bhī kaTe
nikle na ai bahār tire gesuoñ ke bal
Ghazal
aai sahar qarib to maine paDhi ghazal
ham aise riñd pas-e-marg bhī vahāñ jaate
na piinā jurm ho hukaman jahāñ piyā karte
Ghazal
agar na dard se is dil ko aashna karte
riñd jannat meñ jā bhī chuke
vā.iz-e-mohtaram rah ga.e
Ghazal
ahl-e-dair-o-haram rah gae
rind raste meñ āñkheñ bichhā.eñ jo kahe bin sune maan jaa.eñ
nāseh-e-nek-tīnat kisī shab sū-e-kū-e-malāmat to aa.e
Ghazal
toD lenge har ek shai se rishta toD dene ki naubat to aae
ham aise rind magar ye zamāna hai vo ġhazab
ki Daal hī diyā duniyā kā baar ham par bhī
Ghazal
bahut raha hai kabhi lutf-e-yar hum par bhi
biThā ke sāmne tum ko bahār meñ pī hai
tumhāre riñd ne tauba bhī rū-ba-rū kar lī
Ghazal
fareb gham hi sahi dil ne aarzu kar li
vaa.iz se rah-o-rasm rahī rind se sohbat
farq in meñ koī itnā ziyāda to nahīñ thā
Ghazal
go sab ko baham saghar o baada to nahin tha
dil pe ik vahī aur ilhām kā rahtā hai samāñ
ham agar riñd na hote to payambar hote
Ghazal
ye tamanna thi ki hum itne suKHnawar hote
laakh ham riñd sahī hazrat-e-vā.iz lekin
aaj tak ham ne na pī qibla-e-ālam kī tarah
Ghazal
bagh-e-alam mein rahe shadi-o-matam ki tarah
tere kahne se riñd jā.eñge
ye to hai ḳhāna-e-ḳhudā vaa.iz
Ghazal
chup bhi ho bak raha hai kya waiz
sāqiyā ye jo tujh ko ghere haiñ
in meñ kuchh riñd kuchh luTere haiñ
Ghazal
saqiya ye jo tujhko ghere hain
shah-e-dilbarāñ tujhe kyā ḳhabar dil-e-rind-e-ḳhāk-nashīñ hai kyā
isī ḳhaak ne use dil kiyā yahī ḳhaak us ko miTā ga.ī
Ghazal
wo nigah-e-chashm-e-tilism-gar mujhe dekhte hi laja gai
na riñd ko lutf-e-mai-kashī hai na zāhidoñ ko namāz kī dhun
azaab badlā savāb badlā sharāb badlī ḳhumār badlā
Ghazal
bahae shabnam ne ashk paiham nasim bharti hai sard aahen
is meñ saaqī kā bhī dar-parda ishāra to nahīñ
aaj kuchh rind bhī the vā.iz-e-badnām ke saath
Ghazal
masti-e-gam bhi thi ghaflat-e-anjam ke sath
kab se haiñ riñd muntazir chashm-e-karam pe hai nazar
shoḳh nigāh ke liye vaj.h-e-takallufāt kyā
Ghazal
ai meri jaan-e-arzu mane-e-iltifat kya
fāriġh takallufāt se haiñ rind-e-be-riyā
chullū hī un ke vāste paimāna ho gayā
Ghazal
baham jo husn o ishq mein yarana ho gaya

Top Urdushayar.com