Tags-Saqi

kuchh zahr ko taraste haiñ kuchh mai meñ ġharq haiñ
saaqī ye terī bazm kā kyā intizām hai
Ghazal
mushkil ye aa paDi hai ki gardish mein jam hai
har ek jaam pe ye naġhma-e-hazīñ saaqī
ki is javāni-e-fānī kā e'tibār nahīñ
Ghazal
yaqin-e-wada nahin tab-e-intizar nahin
chashm-e-tar par gar nahīñ kartā havā par rahm kar
de le saaqī ham ko mai ye abr-e-bārāñ phir kahāñ
Sher
chashm-e-tar par gar nahin karta hawa par rahm kar
chashma-e-faiz hai kyā zaat mire saaqī kī
ek qatre ko kahā jis ne samundar paayā
Ghazal
but-kade mein na tujhe kabe ke andar paya
maut ik amr-e-musallam hai to phir ai saaqī
ruuh kyuuñ ziist ke ālām se ghabrātī hai
Ghazal
aaj phir ruh mein ek barq si lahraati hai
mirī pyaas baḌh rahī hai mirā dil sulag rahā hai
jo nahīñ hai jaam saaqī to nigāh se pilā de
Ghazal
meri lau lagi hai tujhse gham-e-zindagi miTa de
pilā saaqī ki shaġhl-e-mai-kashī kā vaqt jaatā hai
yūñhī chhā.ī rahe kaalī ghaTā ye ho nahīñ saktā
Ghazal
main toDun ahd-o-paiman-e-wafa ye ho nahin sakta
banā hai mai-kada ahl-e-havas kī bazm ai saaqī
tirā tark-e-ta.alluq dekhnā jaane na kyā kar de
Ghazal
nazar ko wusaten de bijliyon se aashna kar de
qatre haiñ kausar-o-tasnīm kaf-e-sāqī meñ
ḳhum-e-aflāk to paimāne haiñ mai-ḳhānoñ ke
Ghazal
gul muraqqa hain tere chaak garebanon ke
besh o kam kā shikva saaqī se 'mubārak' kufr thā
daur meñ sab ke ba-qadr-e-zarf paimāna rahā
Sher
besh o kam ka shikwa saqi se mubarak kufr tha
nigāh rakhte haiñ saaqī vo terī āñkhoñ par
sukūn-e-dil ke jo pyāle talāsh karte haiñ
Ghazal
na masjiden na shiwale talash karte hain
de mujh ko bhī is daur meñ saaqī sipar-e-jām
har mauj-e-havā khīñche hai shamshīr havā par
Sher
de mujhko bhi is daur mein saqi sipar-e-jam
piyūñgā aaj saaqī ser ho kar
mayassar phir sharāb aa.e na aa.e
Ghazal
payami kaamyab aae na aae
hamāre vāste saaqī piyāla-o-ḳhum ek
chhalak chaleñ jo vo hote haiñ aur paimāne
Ghazal
kisi ne chehre pe bikhra liya tha zulfon ko
saaqī tire lutf-e-ām se ham vāqif haiñ magar ye yaad rahe
is daur meñ kam raas aatī hai shīshe ko duā paimāne kī
Ghazal
lillah koi koshish na kare ulfat mein mujhe samjhane ki
na ahl-e-mai-kada ne muskurā kar baat kī ham se
na terī hī jabīñ se be-ruḳhī ke bal ga.e saaqī
Qita
na ahl-e-mai-kada ne muskura kar baat ki humse
saaqī mujhe bhī chāhiye ik jām-e-ārzū
kitne lageñge daam! zarā aañkh to milā
Ghazal
ai husn-e-lala-fam! zara aankh to mila
ye jaam ye subū ye tasavvur kī chāñdnī
saaqī kahāñ mudām! zarā aañkh to milā
Ghazal
ai husn-e-lala-fam! zara aankh to mila
ab vo saaqī kī bhī āñkheñ na rahīñ rindoñ meñ
ab vo sāġhar bhī chhalakte nahīñ mai-ḳhānoñ meñ
Ghazal
bastiyan DhunDh rahi hain unhen viranon mein
bazm-e-mai be-ḳhud-o-be-tāb na kyuuñ ho saaqī
mauj-e-bāda hai ki dard uThtā hai paimānoñ meñ
Ghazal
bastiyan DhunDh rahi hain unhen viranon mein

Top Urdushayar.com