Tags-Sawal

savāl dil kā shām-e-ġham ko aur udaas kar gayā
tire vajūd meñ jo ek maiñ thā vo kidhar gayā
Ghazal
sawal dil ka sham-e-gham ko aur udas kar gaya
tire ġhurūr mire zabt kā savāl rahā
bikhar bikhar ke tujhe chāhnā kamāl rahā
Ghazal
tere ghurur mere zabt ka sawal raha
savāl pūchhne vaalo tumheñ bhī āḳhir-e-kār
rahīn-e-minnat-e-bār-e-javāb honā hai
Ghazal
jazire hon ki wo sahra hon KHwab hona hai
husn sau baar chup rahe lekin
ishq phir bhī savāl kartā hai
Ghazal
shaKHs wo kya kamal karta hai
kaash us ke rū-ba-rū na kareñ mujh ko hashr meñ
kitne mire savāl haiñ jin kā nahīñ javāb
Sher
kash uske ru-ba-ru na karen mujhko hashr mein
tumhārī bazm se jab bhī uThe to hāl-zada
kabhī javāb ke maare kabhī savāl-zada
Sher
tumhaari bazm se jab bhi uThe to haal-zada
javāb aa.e na aa.e savāl uThā to sahī
phir is savāl meñ pahlū na.e savāl ke rakh
Ghazal
KHazana-e-zar-o-gauhar pe KHak Dal ke rakh
savāl yaar se kaisā kamāl-e-ulfat kā
ki ibtidā bhī to hai shart intihā ke liye
Ghazal
buto ye shisha-e-dil toD do KHuda ke liye
baiThe baiThe koī ḳhayāl aayā
zinda rahne kā phir savāl aayā
Ghazal
baiThe baiThe koi KHayal aaya
ajiib log haiñ us par savāl karte haiñ
kabhī to socheñ ki āḳhir vo ġham-zada kyuuñ hai
Ghazal
ye dard ka hai musalsal jo silsila kyun hai
ye dekh ab savāl-e-baqā-e-yaqīn hai
TuuTe hue gumān kī ma.asūmiyat na dekh
Ghazal
dariya-e-aftab ki tughyaniyat na dekh
bādshāhā tirī hai sardārī
maiñ karūñgī savāl na sā.īñ
Ghazal
ranj-o-huzn-o-malal na sain
be-qusūr aaheñ
kar rahīñ savāl
Nazm
sawal
be-āb-o-giyāh bāñjh dhartī
mujh se ye savāl kar rahī hai
Nazm
kisan
jhaTak ke haath chalā hai baḌī hī ujlat meñ
zarā Thahar ki zarūrī savāl rah gayā hai
Ghazal
junun KHatm hua etidal rah gaya hai
ik savāl-e-vasl par do do sazā.eñ diiñ mujhe
teġh se kaaTā zabāñ ko sī diye lab tiir se
Ghazal
qasr-e-jaanan tak rasai ho kisi tadbir se
savāl hai ġham-e-hastī ke biit jaane kā
ye zindagī to bahar-hāl biit jaatī hai
Ghazal
sada kuchh aisi mere gosh-e-dil mein aati hai
zamāna badlā to iblīs ko malāl huā
milā jo mauqa to bhagvān se savāl huā
Nazm
sawari
guzār dī hai yuuñ hī joḌte ghaTāte hue
savāl hal na hue aur bhar gayā kāġhaz
Ghazal
KHarab ho gaya jab mere jism ka kaghaz
na vo āh-e-ġham na vo chashm-e-nam na vo laġhzisheñ haiñ qadam qadam
na vo kashmakash hai javāb meñ na vo valvale haiñ savāl meñ
Ghazal
na wo hijr mein rahin talKHiyan na wo lazzaten hain visal mein

Top Urdushayar.com