Tags-Shama

ai sham.a tujh se saaf maiñ kahtā huuñ dil kā haal
jalnā hī thā to jal na gayā sar se paañv tak
Ghazal
kyun ho bahana-ju na qaza sar se panw tak
rone vaale hue chup hijr kī duniyā badlī
sham.a be-nūr huī sub.h kā taarā niklā
Ghazal
daur-e-aghaz-e-jafa dil ka sahaara nikla
jahāñ meñ ġham se kui ishrat-kada nahīñ ḳhālī
hai sham.a bazm meñ giryāñ chaman meñ shabnam hai
Ghazal
bala se KHalq ho be-dard ishq kya gham hai
koī raushan to kare sham-e-shabistān-e-ḳhayāl
munjamid chashma-e-anvar nahīñ dīvāno
Ghazal
marhale zist ke dushwar nahin diwano
hamārī sī mohabbat tum ko ham se ho to kyā guzre
banā de sham.a ko bhī ishq parvāna to kyā hogā
Ghazal
yagana ban ke ho jae wo begana to kya hoga
ātish-e-ġham meñ bas ki jalte haiñ
sham.a saañ ustuḳhvāñ pighalte haiñ
Ghazal
aatish-e-gham mein bas ki jalte hain
sham.a-rū siiñ 'sirāj' jā kar bol
ki patiñgoñ kuuñ mat jalātā rah
Ghazal
jalwa-e-jaan-faza dikhata rah
aa.e jo bazm meñ to uThā chehre se naqāb
parvāne hī ko sham.a se bezār kar chale
Ghazal
ghunche se muskura ke use zar kar chale
ham haiñ ek sham.a magar dekh ke bujhte bujhte
raushnī kitne añdheroñ ko diye jaate haiñ
Ghazal
kyun hamein maut ke paigham diye jate hain
sikkoñ ke evaz jo bik jaa.e vo merī nazar meñ husn nahīñ
ai sham-e-shabistān-e-daulat tū hai jo parī-timsāl to kyā
Ghazal
ghazlen to kahi hain kuchh humne un se na kaha ahwal to kya
vaqār-e-ishq yuuñ bhī sham.a kī nazroñ meñ kuchh kam hai
patiñge ḳhud chale aate haiñ bulvā.e nahīñ jaate
Ghazal
lahad aur hashr mein ye farq kam pae nahin jate
sham-e-dil sham-e-tamannā na jalā maan bhī jā
tez āñdhī hai muḳhālif hai havā maan bhī jā
Ghazal
sham-e-dil sham-e-tamanna na jala man bhi ja
sham.a sā jab shaam hī se hai gudāz-e-dil 'ravāñ'
sub.h tak kyā jaane kyā hālat tirī ho jā.egī
Ghazal
yunhi gar har sans mein thoDi kami ho jaegi
TuuTā tilism-e-ahd-e-mohabbat kuchh is tarah
phir aarzū kī sham.a firozāñ na kar sake
Ghazal
KHuddariyon ke KHun ko arzan na kar sake
umiid aisī na thī mahfil ke arbāb-e-basīrat se
gunāh-e-sham.a ko bhī jurm-e-parvāna banā deñge
Ghazal
nazar ko aaina dil ko tera shana bana denge
aqīde bujh rahe haiñ sham-e-jāñ gul hotī jaatī hai
magar zauq-e-junūñ kī sho.ala-sāmānī nahīñ jaatī
Ghazal
aqide bujh rahe hain sham-e-jaan gul hoti jati hai
ḳhaak se hamārī bhī ho kabhī guzar terā
bar-zabān-e-sham-o-gul kuchh kalām kar lenā
Ghazal
itni sari shamon mein ek sham kar lena
hadīs-e-soz-o-sāz-e-sham-o-parvāna nahīñ kahte
ham apnā hāl-e-dil kahte haiñ afsāna nahīñ kahte
Ghazal
hadis-e-soz-o-saz-e-sham-o-parwana nahin kahte
sham.a-sūrat ek din jalnā hai apnī aag meñ
lazzat-e-soz-e-darūñ se āshnā ho jā.iye
Ghazal
sajda-gah-e-ahl-e-dil baad-e-fana ho jaiye
ġham aur bhī dil kā jo shab-e-hijr baḌhā.e
is sham-e-fasurda ko bujhā kyoñ nahīñ dete
Ghazal
is dil ko tah-e-tegh sula kyon nahin dete

Top Urdushayar.com