English
English
اردو
हिन्दी
Favourite
Favourite (3)
Favourite
shayari
shayar
collections
tags
dictionary
Expand menu
Sign in
Account
Collections
Lab Shayari
Motivational Ghazals
Best Khamoshi Shayari
More Collections
Home
Shayar
Shayari
Sher
Ghazal
Nazm
Tags
Dictionary
Home
Tags
Sher
Tags-Sher
merā har sher haqīqat kī hai zinda tasvīr
apne ash.ār meñ qissa nahīñ likhkhā maiñ ne
Sher
mera har sher haqiqat ki hai zinda taswir
Duubā hai bahr sher meñ aisā 'navā' ki ab
de tab.a ko fishār to mazmūñ Tapak paḌe
Ghazal
ab ashk to kahan hai jo chahun Tapak paDe
choTī ke sher tū ne kahe is zamīn meñ
sach hai 'vasīm' terī tabī.at balā kī hai
Ghazal
bhar din shabab ne ye un aankhon mein shoKHiyan
kabhī vo sher-o-suḳhan kā shaidā kabhī vo tahqīq kā divāna
vo merī ġhazloñ kā husn-e-matl.a mire maqāle ke baab jaisā
Ghazal
wo hansti aankhen hasin tabassum damakta chehra kitab jaisa
sher-dar-sher biThā.e ga.e masnad par sher
yuuñ sajā dī ga.ī bārāt mire lafzoñ kī
Ghazal
mere lafzon se chali baat mere lafzon ki
ek hasīñ fir.aun ko bazm-e-sher-o-suḳhan meñ
merī ġhazloñ kī pustak taurāt lagī hai
Ghazal
usko apni zat KHuda ki zat lagi hai
sher kahtā huuñ to 'akmal' mirā dil kahtā hai
fikr-e-āvāra pe alfāz kī chādar na chaḌhā
Ghazal
uski diwar pe manqush hai wo harf-e-wafa
ye ġhazal apnī mujhe jī se pasand aatī hai aap
hai radīf-e-sher meñ 'ġhālib' zi-bas takrār-e-dost
Ghazal
aamad-e-KHat se hua hai sard jo bazar-e-dost
ye khulā na ham pe ki tū kahāñ mai-e-sher pī ke nikal gayā
tujhe yaad karte haiñ 'arsh' sab kabhī phir bhī bazm-e-suḳhan meñ aa
Ghazal
na furaat-o-dajla pe naz kar na fareb-e-gang-o-jaman mein aa
mere har misre pe us ne vasl kā misra lagāyā
sab adhūre sher shab bhar meñ mukammal ho ga.e the
Ghazal
chaakari mein rah ke is duniya ki mohmal ho gae the
gadā-e-kū-e-suḳhan aur tujh se kyā māñge
yahī ki mamlikat-e-sher kī ḳhudā.ī de
Ghazal
mere KHuda mujhe wo tab-e-nai-nawai de
maiñ ne ġhazal kahī hai 'munavār' magar kahāñ!
pūchhegā 'rāz' kaun! miyāñ sher kuchh kahe?
Ghazal
bunden paDi thin chhat pe ki sab log uTh gae
jā paḌe chup ho ke jab shahr-e-ḳhamoshāñ meñ 'nazīr'
ye ġhazal ye reḳhta ye sher-ḳhvānī phir kahāñ
Sher
ja paDe chup ho ke jab shahr-e-KHamoshan mein nazir
mirī bāteñ jīvan sapnoñ kī mire sher amānat nasloñ kī
maiñ shaah ke giit nahīñ gaatā mujh se ādāb nahīñ hotā
Ghazal
is aalam-e-hairat-o-ibrat mein kuchh bhi to sarab nahin hota
hai us ke naam kī maalā mire laboñ kā subū
maiñ us ko sher sunā.ūñ vo gungunā.e mujhe
Ghazal
koi to hai ki nae raste dikhae mujhe
rañg paatā hai mire ḳhūn-e-jigar se gul-e-sher
sabza-e-fikr mirī aañkh se nam letā hai
Ghazal
ek naya karb mere dil mein janam leta hai
sher 'ġhālib' kā nahīñ vahī ye taslīm magar
ba-ḳhudā tum hī batā do nahīñ lagtā ilhām
Sher
sher ghaalib ka nahin wahi ye taslim magar
ai 'mus.hafī' tū aur kahāñ sher kā da.avā
phabtā hai ye andāz-e-suḳhan 'mīr' ke muñh par
Sher
ai mushafi tu aur kahan sher ka dawa
ye sher-o-fan ye mai-o-naġhma ye shabāb-o-rabāb
ye baḳhshisheñ haiñ ġham-e-zindagī bhulāne ko
Ghazal
tum aae jab nahin nakaam lauT jaane ko
ik aisā vaqt bhī aatā hai chāñdnī shab meñ
mirā dimāġh mirā dil kahīñ nahīñ hotā
Latiife
Muneer Niyazi Ke Liye Mashwara
Prev
24 / 79
1
...
21
22
23
24
25
26
27
...
79
Next
Top
Urdushayar.com