Tags-Tasawwur

hasrat-e-jalva-e-dīdār ho puurī kyūñkar
vo tasavvur meñ bhī rū-posh nazar aatā hai
Ghazal
saz-e-hasti ka ajab josh nazar aata hai
tasavvur meñ tasadduq meñ huuñ maiñ us sham.a-rū uupar
haiñ goyā 'ishq' ham tasvīr-e-fānūs-e-ḳhayālī ke
Ghazal
guzarish kar saba KHidmat mein tu us la-ubaali ke
band āñkhoñ se na kar mashq-e-tasavvur din-rāt
ki hamesha ke liye jaan maiñ terā ho jā.ūñ
Ghazal
tez ho jaen hawaen to bagula ho jaun
ek sannāTā hai dil meñ ik tasavvur aap kā
ik qayāmat par qayāmat dūsrī aa.ī huī
Ghazal
shiddat-e-izhaar-e-mazmun se hai ghabrai hui
dil ko mizhgāñ kā tasavvur hī bahut kaam aayā
Dūbte ko hai sahārā par-e-kāhe gaahe
Ghazal
ishq kyun ruswa hua apna sar-e-rahe gahe
ek kuuze ke tasavvur se juḌe ham donoñ
naqsh detā huā tū chaak ghumātā huā maiñ
Ghazal
mujhse banta hua tu tujhko banata hua main
āhañg-e-tasavvur se jo larzish hai ragoñ meñ
us ko mire ḳhāme kā sarokār bhī kar de
Ghazal
KHamosh bhi rah jae aur izhaar bhi kar de
jī meñ aatā hai kabhī un kā tasavvur le kar
koī jaatā ho kahīñ saath meñ ho leñ ham bhī
Ghazal
roke kuchh der ghubar aankh ka dho len hum bhi
tasavvur kī hadoñ meñ bhī samānā jin kā mushkil thā
nazar vāloñ ne un jalvoñ ko tā-hadd-e-nazar dekhā
Ghazal
jo mere tangna-e-dil mein tujhko jalwa-gar dekha
koī shab kī ḳhamoshī meñ hai giryāñ
tasavvur meñ koī samjhā rahā hai
Ghazal
pareshani hai ji ghabra raha hai
tasavvur kī ye maqsad-āfrīnī
maiñ samjhā koī sach-much aa rahā hai
Ghazal
pareshani hai ji ghabra raha hai
chhā gayā ye tasavvur us but kā
naqsh-e-chīñ aur but-chagil huuñ maiñ
Ghazal
uThne mein dard-e-muttasil hun main
rū-ba-rū rahtī hai tasvīr-e-tasavvur shab-o-roz
ab to be-minnat-e-ḳhalq aap ke nazzāre haiñ
Ghazal
hai ghalat gar tere danton ko kahun tare hain
ek parchhā.īñ tasavvur kī mire saath rahe
maiñ tujhe bhūlūñ magar yaad mujhe tū aa.e
Ghazal
dil ne ek aah bhari aankh mein aansu aae
phir nazar meñ phuul mahke dil meñ phir sham.eñ jalīñ
phir tasavvur ne liyā us bazm meñ jaane kā naam
Sher
phir nazar mein phul mahke dil mein phir shaMein jalin
jis kī bose ke tasavvur se chhile gaal kī khaal
taab kyā laave araq poñchhte rumāl kī khaal
Ghazal
maslaKH-e-ishq mein khinchti hai KHush-iqbaal ki khaal
kyā lutf-e-īd hai jo agar tum se duur hoñ
guzregā roz-e-īd tasavvur meñ aap ke
Sher
kya lutf-e-id hai jo agar tum se dur hon
hañs ke bulvā.iye miT jā.egā sab dil kā gila
kyā tasavvur hai tumhārā ki miTā bhī na sakūñ
Ghazal
mehrban ho ke bula lo mujhe chaho jis waqt
tasavvur hī ke aalam meñ jo vo taklīf farmāte
to kyuuñ furqat-nasīboñ ke liye shab hijr kī hotī
Ghazal
agar meri jabin-e-shauq waqf-e-bandagi hoti
maiñ ne ḳhud us ke tasavvur ko bulāyā hai yahāñ
ab nahīñ jā.ūñgā bāhar ghar meñ mehmāñ chhoḌ kar
Ghazal
chal diya wo us tarah mujhko pareshan chhoD kar

Top Urdushayar.com