Tags-Yaad

karte kis muñh se ho ġhurbat kī shikāyat 'ġhālib'
tum ko be-mehri-e-yārān-e-vatan yaad nahīñ
Ghazal
nala juz husn-e-talab ai sitam-ijad nahin
maiñ kab tanhā huā thā yaad hogā
tumhārā faisla thā yaad hogā
Ghazal
main kab tanha hua tha yaad hoga
bahut se ujle ujle phuul le kar
koī tum se milā thā yaad hogā
Ghazal
main kab tanha hua tha yaad hoga
bichhī thiiñ har taraf āñkheñ hī āñkheñ
koī aañsū girā thā yaad hogā
Ghazal
main kab tanha hua tha yaad hoga
udāsī aur baḌhtī jā rahī thī
vo chehra bujh rahā thā yaad hogā
Ghazal
main kab tanha hua tha yaad hoga
vo ḳhat pāgal havā ke āñchaloñ par
kise tum ne likhā thā yaad hogā
Ghazal
main kab tanha hua tha yaad hoga
biit chuke vo din vo zamāne rāhat bharī aziyyat ke
yaad kise ab kaun batā.e duurī thī ki vo qurbat thī
Ghazal
apni aur kisi se kis din rah-o-rasm-o-rifaqat thi
tirī yaad jo mere dil meñ hai bas usī kī jalvagarī rahī
mirā ġham bhī tāza-ba-tāza hai mirī shāḳh-e-fan bhī harī rahī
Ghazal
teri yaad jo mere dil mein hai bas usi ki jalwagari rahi
yahī zindagī mirī zindagī yahī zindagī mirī maut hai
tirī yaad ban ga.ī ik chhurī jo mire gale pe dharī rahī
Ghazal
teri yaad jo mere dil mein hai bas usi ki jalwagari rahi
shām-e-ġham se shab-e-andoh se chashm-e-tar se
baaz aayā maiñ tirī yaad ke us lashkar se
Ghazal
sham-e-gham se shab-e-andoh se chashm-e-tar se
dam-e-hashr azal kī bhī yaad kar ye zabān kyā ye nigāh kyā
jo kisī se aaj na ho sakā vo savāl bār-e-digar bhī hai
Ghazal
jise log kahte hain tirgi wahi shab hijab-e-sahar bhi hai
kaam kyā degā vo TuuTā huā ā.īna bhī
yaad rakhne ko vahī aks vo chehrā hī na ho
Ghazal
ye bhi mumkin hai ki aankhen ho tamasha hi na ho
ye gul-mohar kī haiñ shāḳheñ kisī ki yaad liye
kisī kī yaad kā chehra nahīñ badalte ham
Ghazal
koi ghazal ho ye lahja nahin badalte hum
aur phir dasht-e-junūñ mujh ko bahut yaad aayā
chāk-e-dāmāñ jo abhī maiñ ne siyā pahlī baar
Ghazal
mahw-e-nazzara-e-hairat hai hawa pahli bar
is rāste meñ jab koī saaya na pā.egā
ye āḳhirī daraḳht bahut yaad aa.egā
Ghazal
is raste mein jab koi saya na paega
bichhḌe huoñ kī yaad to aa.egī jīte-jī
mausam rafāqatoñ kā palaT kar na aa.egā
Ghazal
is raste mein jab koi saya na paega
kab tumheñ ishq pe majbūr kiyā hai ham ne
ham to bas yaad dilāte haiñ chale jaate haiñ
Ghazal
meri tanhai baDhate hain chale jate hain
bhūle the unhīñ ke liye duniyā ko kabhī ham
ab yaad jinheñ naam bhī apnā nahīñ aatā
Ghazal
bhule se bhi lab par suKHan apna nahin aata
yaad kā kyā hai aa ga.ī phir se
aañkh kā kyā hai phir se ro lī hai
Ghazal
barq ne jab bhi aankh kholi hai
chhupī dil meñ jo yād-e-yār hogī
masāfat aur bhī dushvār hogī
Ghazal
chhupi dil mein jo yaad-e-yar hogi

Top Urdushayar.com