Tags-Yaad

yaad us kī na rāhoñ se bhaTke kahīñ
jugnuoñ ko chamaktā huā chhoḌ do
Ghazal
rahbari ke liye rahnuma chhoD do
yād-e-māzī ye kyā kiyā tū ne
hañste hañste rulā diyā tū ne
Ghazal
yaad-e-mazi ye kya kiya tu ne
āġhāz-e-ġham urūj-e-junūñ intihā-e-shauq
vo zindagī meñ yaad na aa.e kahāñ kahāñ
Ghazal
dil ne fareb ishq mein khae kahan kahan
yuuñ tasavvur meñ dabe paañv tirī yaad aa.ī
jis tarah shaam kī bāñhoñ meñ sitāre aa.e
Sher
yun tasawwur mein dabe panw teri yaad aai
ye kis kī yaad kā dil par rafū thā
ki bah jaane pe āmāda lahū thā
Ghazal
ye kis ki yaad ka dil par rafu tha
yaad karnā tumheñ hai aadat meñ
varna dil meñ nahīñ bacha hai kuchh
Ghazal
tere hisse ka bach gaya hai kuchh
umr guzar jaatī hai qisse rah jaate haiñ
pichhlī rut ke bichhḌe sāthī yaad aate haiñ
Ghazal
umr guzar jati hai qisse rah jate hain
ujlī thī tirī yaad kī ye zard sī pattī
ḳhākistar-e-ayyām meñ ḳhāmosh paḌī hai
Ghazal
ai ham-nafaso dard ki ye raat kaDi hai
yaad se terī hue pur-nūr apne roz-o-shab
dil kī ra.anā.ī baḌhī aur raat ujlī ho ga.ī
Ghazal
na-muradi hi likhi thi so wo puri ho gai
siyāh dil haiñ añdheroñ meñ tujhe ham yaad karte haiñ
ḳhudāyā un gharoñ meñ raushnī hotī to achchhā thā
Ghazal
ilahi dil ko mere kuchh KHushi hoti to achchha tha
bhūlī-bisrī yaad ne jab daryāft kiyā ahvāl mirā
dil ne zaḳhm kalām kiyā āñkhoñ ne ashk-bayānī kī
Ghazal
duniya se har rishta toDa KHud se ru-gardani ki
mujh ko tum yaad aur bhī aa.e
koshisheñ jitnī kī bhulāne kī
Ghazal
KHair mangi jo aashiyane ki
tanhā.ī kā sannāTā aur aatī jaatī rāteñ
terī yaad na aur koī ġham phir bhī niiñd na aa.e
Sher
tanhai ka sannaTa aur aati jati raaten
mujh ko dekh ke merā jumla juuñ hī us ko yaad aayā
us ne jo bāñdhā thā vo bāloñ kā juuḌā khol diyā
Ghazal
muddat se jo band paDa tha aaj wo kamra khol diya
jis qadar vasl-e-butāñ kā tumheñ rahtā hai firāq
ai 'nasīm' utnī kabhī yād-e-ḳhudā aatī hai
Ghazal
dil se har-dam hamein aawaz-e-buka aati hai
hai tere ba.ad tirī yaad iftiḳhār-e-vatan
tirā mazār hai sham-e-sar-e-mazār-e-vatan
Nazm
Tipu-sultan
pukārtī haiñ sirañgā-paTam kī dīvāreñ
ki ham ko yaad haiñ vo goliyoñ kī bauchhāreñ
Nazm
Tipu-sultan
shaam hote hī charāġhoñ ko bujhā detā huuñ
dil hī kaafī hai tirī yaad meñ jalne ke liye
Sher
sham hote hi charaghon ko bujha deta hun
raat ke jañgal meñ maiñ huuñ aur tirī mub.ham sī yaad
ik diyā hai ye kahāñ tak rāsta raushan kare
Ghazal
jo tasawwur mein hai usko koi kya raushan kare
ye suḳhan jo ham ne raqam kiye ye haiñ sab varaq tirī yaad ke
koī lamha sub.h-e-visāl kā koī shām-e-hijr kī muddateñ
Ghazal
sabhi kuchh hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kulfaten

Top Urdushayar.com