Tags-Zulf

mat pūchh us kī zulf kī uljheḌe kā bayān
ye merī jaan ke liye janjāl hai so hai
Ghazal
wo dilbari ka uski jo kuchh haal hai so hai
kyūñke hāsil ho muj ko jam.iyyat
zulf terī qarār khotī hai
Ghazal
muflisi sab bahaar khoti hai
ātish-e-rañg-e-hinā-o-zulf-e-pechāñ dekhiye
aag talvoñ meñ lagī niklā dhuāñ bālā-e-sar
Ghazal
gumbad-e-madfan hai ya hai aasman baala-e-sar
ba-rañg-e-zulf pareshāñ vo mauj-hā-e-ravāñ
ki jin kī yaad meñ rātoñ ko fikr-e-ḳhvāb nahīñ
Ghazal
bujha sa rahta hai dil jab se hain watan se juda
dev mujhe laakh daam kī jāgīr
zulf kholo baḌī ri.āyat hai
Ghazal
dil mera saghar-e-shikayat hai
dil shikanje meñ na Daalo merā
zulf ko gūñdh banāyā na karo
Ghazal
mustamindan ko sataya na karo
phirte haiñ āftāb-zada kā.enāt meñ
ham par kisī kī zulf ke ehsāñ kabhī na the
Ghazal
ye to nahin ki hum pe sitam hi kabhi na the
pech mujh par paḌe jo paḌnā ho
zulf-e-ḳhamdār kā ḳhudā-hāfiz
Ghazal
ishq hai yar ka KHuda-hafiz
hai mashām-e-shauq mahrūm-e-shamīm
zulf-e-ambar-bār kī bāteñ kareñ
Ghazal
zikr-e-gul ho Khaar ki baaten karen
ye zulf-bar-dosh kaun aayā ye kis kī aahaT se gul khile haiñ
mahak rahī hai fazā-e-hastī tamām aalam bahār sā hai
Sher
ye zulf-bar-dosh kaun aaya ye kis ki aahaT se gul khile hain
zulf us kī siyāh nāgin hai
maar rakhtī hai jis ko Dastī hai
Ghazal
nist be-yar mujhko hasti hai
asar zulf kā barmalā ho gayā
balāoñ se mil kar balā ho gayā
Ghazal
asar zulf ka barmala ho gaya
mizha pe hotā hai raushan charāġh-e-tanhā.ī
asīr-e-zulf agar anjuman se jaatā hai
Ghazal
hunar se jae kisi ke na fan se jata hai
saudā-e-zulf-e-ḳhūbāñ rakhtā huuñ dil meñ daa.im
zanjīr-e-āshiqī kā dīvāna ho rahā huuñ
Ghazal
main aashiqi mein tab sun afsana ho raha hun
kaan rakh kar vo mire naale sune
zulf dūd-e-shola-e-fariyād ho
Ghazal
jo adu-e-bagh ho barbaad ho
dil to behāl huā goī naman sargardāñ
zulf-e-pur-pech ke chaugān le maidān meñ aa
Ghazal
mah-e-man shama tuman dil ke shabistan mein aa
dil us kī zulf ke pechoñ meñ 'hātim' uljhā hai
rakhe nahīñ hai mirā said daam o shust se kaam
Ghazal
na mohtasib se ye mujhko gharaz na mast se kaam
zulf-e-dilbar le ga.ī dil ghaat se
maiñ to be-dil ho rahā huuñ raat se
Ghazal
zulf-e-dilbar le gai dil ghat se
yahāñ to zaḳhm ke pahre biThā.e the ham ne
shamīm-e-zulf yahāñ kaise bāryāb huī
Ghazal
hujum-e-dard mila zindagi azab hui
likhā jo mushk-e-ḳhatā zulf ko to bal khā kar
kahā ḳhatā kī jo ye harf-e-nā-savāb likhā
Ghazal
kal uske chehre ko humne jo aaftab likha

Top Urdushayar.com