Tags-Bahaar

ye fasl-e-bahār be-ḳhudī kā
rasta ham ko batā rahī hai
Ghazal
sar-sar gesu hila rahi hai
ye bint-e-inab bahār-e-gul meñ
yāroñ kī bhī āshnā rahī hai
Ghazal
sar-sar gesu hila rahi hai
baaġh meñ jab vo gul-e-tāza-bahār aatā hai
bū-e-gul phir to havā par hī dharī rahtī hai
Ghazal
mai-e-gul-gun ke jo shishe mein pari rahti hai
bū-e-ḳhūñ se jī rukā jaatā hai ai bād-e-bahār
ho gayā hai chaak dil shāyad kaso dil-gīr kā
Ghazal
sair ke qabil hai dil-sad-para us naKHchir ka
vo to kaho ki aa.ī qafas tak bhī bū-e-gul
varna bhulā diyā thā hameñ to bahār ne
Ghazal
dekha kuchh aaj yun kisi ghaflat-shiar ne
hañgāma-e-shabāb kī poñchho na sar-guzasht
apne chaman ko luuT liyā ḳhud bahār ne
Ghazal
dekha kuchh aaj yun kisi ghaflat-shiar ne
kī mire haath se yuuñ nazr-e-bahār us ne qubūl
jaise ye phuul nahīñ hai koī chiñgārī hai
Ghazal
ashk-bari nahin furqat mein sharar-bari hai
be-sabātī par bahār-e-bāġh kī rotā hai charḳh
rū-e-gul par qatra-hā-e-ashk haiñ shabnam nahīñ
Ghazal
thak gae tum hasrat-e-zauq-e-shahadat kam nahin
jis kā badan gulāb thā vo yaar bhī nahīñ
ab ke baras bahār ke āsār bhī nahīñ
Ghazal
jis ka badan gulab tha wo yar bhi nahin
ḳhizāñ kī baat na zikr-e-bahār karte haiñ
to log kaise ġhamoñ kā shumār karte haiñ
Ghazal
KHizan ki baat na zikr-e-bahaar karte hain
agar nasīb meñ 'zaiġham' ḳhizāñ hī likkhī ho
to phir jahāñ meñ talāsh-e-bahār kaun kare
Ghazal
tu bewafa hai tera etibar kaun kare
na rahā zauq-e-rang-o-bū mujh ko
ab na chheḌ ai bahār tū mujh ko
Ghazal
na raha zauq-e-rang-o-bu mujhko
bahār is dhuum se aa.ī ga.ī ummīd jiine kī
garebāñ phaT chukā kui dam meñ ab naubat hī siine kī
Sher
bahaar is dhum se aai gai ummid jine ki
bahār aa.ī hai phir vahshat ke sāmāñ hote jaate haiñ
mire siine meñ dāġhoñ ke gulistāñ hote jaate haiñ
Ghazal
bahaar aai hai phir wahshat ke saman hote jate hain
kahte haiñ bahār aa.ī gul phuul nikalte haiñ
ham kunj-e-qafas meñ haiñ dil sīnoñ meñ jalte haiñ
Ghazal
kahte hain bahaar aai gul phul nikalte hain
ham-nashīñ kaT hī gayā daur-e-ḳhizāñ bhī āḳhir
zikr phūloñ kā rahā fasl-e-bahār aane tak
Ghazal
aql pahunchi jo riwayat ke kashane tak
zaḳhm yādoñ ke mahakte haiñ ki aa.ī hai bahār
hai ye daulat ġham-e-daurāñ kī ḳhizāñ aane tak
Ghazal
aql pahunchi jo riwayat ke kashane tak
ye jo bhī ho bahār nahīñ hai janāb-e-man
kis vahm meñ haiñ dekhne vaale paḌe hue
Ghazal
laghar hain jism rang hain kale paDe hue
sar uupar laal chīrā aur dahan juuñ ġhuncha-e-rañgīñ
bahār-e-mudda.ā lāl-e-badḳhshānī hai ye laḌkā
Ghazal
lab-e-shirin hai misri yusuf-e-sani hai ye laDka

Top Urdushayar.com