Tags-Bahaar

ḳhudā kare mirī rātoñ meñ kā.enāt-e-jamāl
ga.ī bahār ko le kar hazār baar aa.e
Ghazal
rawish rawish pe jawani ke tajdar aae
ravish ravish pe javānī ke tājdār aa.e
junūñ ke qāfile vābasta-e-bahār aa.e
Ghazal
rawish rawish pe jawani ke tajdar aae
tere dam se thī bahāroñ meñ bahār
ab kahāñ hai vo bahār-e-zindagī
Ghazal
rah gai luT kar bahaar-e-zindagi
merī nazroñ meñ hasīñ dhokā hai ik
jis ko kahte haiñ bahār-e-zindagī
Ghazal
rah gai luT kar bahaar-e-zindagi
rah ga.ī luT kar bahār-e-zindagī
zindagī hai sogvār-e-zindagī
Ghazal
rah gai luT kar bahaar-e-zindagi
bahār-e-bāġh-e-ālam be-sabāt aisī hai ai bulbul
gumāñ hai ḳhanda-e-gul par sadā-e-kūs-e-rehlat kā
Ghazal
rag-o-pai mein bhara hai mere shor uski mohabbat ka
hai mausam-e-bahār kā āġhāz qahr hai
ab bhī agar chaman meñ havā mo'tadil na ho
Sher
hai mausam-e-bahaar ka aaghaz qahr hai
huī muddat ki chaman chhūT gayā
ab hameñ kyā jo bahār aa.ī hai
Sher
hui muddat ki chaman chhuT gaya
gulshan-e-hastī meñ dekhī thī bahār
auj par jo the sitāre ho chuke
Ghazal
aashiqi ke aashkare ho chuke
hai bahār-e-gulshan-e-duniyā do roz
bulbul-o-gul ke nazāre ho chuke
Ghazal
aashiqi ke aashkare ho chuke
ye sham-o-anjuman ye mai-o-jām ye bahār
mehmān raat bhar ke haiñ vaqt-e-sahar kahāñ
Ghazal
kuchh hai KHabar farishton ke jalte hain par kahan
ayyām-e-aish meñ ruḳh-e-daulat se hai alag
afsos par hamāre kaTe haiñ bahār meñ
Ghazal
nayab hai sukun dil-e-be-qarar mein
vahī ilāj-e-shab-e-saḳhti-e-ḳhizāñ thā 'zafar'
jo ek phuul kisī nau-bahār ne na diyā
Ghazal
mila to manzil-e-jaan mein utarne na diya
baiThe haiñ rāste meñ dil kā khañDar sajā kar
shāyad isī taraf se ik din bahār guzre
Ghazal
yun teri rahguzar se diwana-war guzre
'muztar' apne haq ke kāñTe chun ke maiñ ruḳhsat huā
aur kyā detī bahār-e-gulshan-e-fānī mujhe
Ghazal
waqt-e-aKHir yaad hai saqi ki mehmani mujhe
kise ḳhabar hai ki 'bāqar' fidā-e-husn-e-bahār
yahīñ kahīñ hai ġharīb-e-dayār-e-nik.hat-e-gul
Ghazal
nawah-e-shauq mein hai ek dayar-e-nikhat-e-gul
bharī bahār meñ ik shāḳh par khilā hai gulāb
ki jaise tū ne hathelī pe gaal rakkhā hai
Ghazal
agarche zor hawaon ne Dal rakkha hai
yahāñ kī qaus-e-quzah ko milā hai izn-e-davām
bahār-e-rañg dalīl-e-bahār-e-nik.hat-e-gul
Ghazal
nawah-e-shauq mein hai ek dayar-e-nikhat-e-gul
bas ġhanīmat hai ye shīrāza-e-lamhāt-e-bahār
dhuum se jashn-e-ḳharābāt manā luuñ to chalūñ
Ghazal
ham-safar tham to sahi dil ko sambhaalun to chalun
kisī kī luuT ke rāhat ḳhushī nahīñ miltī
ḳhizāñ ke haath meñ sarmāya-e-bahār nahīñ
Ghazal
ab apne dida-o-dil ka bhi etibar nahin

Top Urdushayar.com