Tags-Bandagi

ḳhū-e-taslīm sar salāmat-bād
bandagī tauq-e-dar-gulū hai vahī
Ghazal
KHud ko pane ki justuju hai wahi
tire ḳhayāl meñ din-rāt mast rahtā huuñ
ye bandagī jo nahīñ hai to bandagī kyā hai
Ghazal
jo aansuon ko na chamkae wo KHushi kya hai
vo sajda sajda nahīñ jis meñ hosh baaqī ho
ba-qaid-e-hosh jo ho bandagī nahīñ hotī
Ghazal
junun baghair kabhi aagahi nahin hoti
ab kahāñ tak pattharoñ kī bandagī kartā phirūñ
dil se jis dam bhī pukārūñgā ḳhudā mil jā.egā
Sher
ab kahan tak pattharon ki bandagi karta phirun
javāz koī agar merī bandagī kā nahīñ
maiñ pūchhtā huuñ tujhe kyā milā ḳhudā ho kar
Sher
jawaz koi agar meri bandagi ka nahin
ab ye aalam hai ki har patthar se Takrātā huuñ sar
maar Daalā ek but ne bandagī ke naam par
Ghazal
hai nasim-e-subh aawara usi ke nam par
zindagī saarī bandagī merī
merā sajda hai aadmī kā dukh
Ghazal
waqt ke sath zindagi ka dukh
aaj me.arāj ho ga.ī merī
aaj bāñTā hai bandagī kā dukh
Ghazal
waqt ke sath zindagi ka dukh
bandagī meñ bhī vo āzāda o ḳhud-bīñ haiñ ki ham
ulTe phir aa.e dar-e-ka.aba agar vā na huā
Ghazal
dar-KHur-e-qahr-o-ghazab jab koi hum sa na hua
nahīñ huuñ maiñ to tirī bandagī ke kyā ma.anī
nahīñ hai tū to ḳhudā kaun hai zamāne kā
Sher
nahin hun main to teri bandagi ke kya mani
pīchhā chhuḌā sake na kabhī bandagī se ham
nekī se bañdh ga.e kabhī gaahe badī se ham
Qita
pichha chhuDa sake na kabhi bandagi se hum
bandagī aur sāhabī asl meñ donoñ ek haiñ
jis kā ġhulām ayaaz hai vo hai ġhulām ayaaz kā
Ghazal
aaina-e-KHayal tha aks-pazir raaz ka
yahī hai zindagī apnī yahī hai bandagī apnī
ki un kā naam aayā aur gardan jhuk ga.ī apnī
Sher
yahi hai zindagi apni yahi hai bandagi apni
na ehsās-e-mālik na ehsās-e-ḳhidmat
maqām aa gayā bandagī se bhī aage
Ghazal
bahut raaz hain zindagi se bhi aage
ai be-niyāz merā sajda qubūl kar le
maiñ jāntā nahīñ huuñ ādāb bandagī ke
Ghazal
hote hain KHatm ab ye lamhat zindagi ke
mirā mudda.ā hai itnā tū agar kare gavāra
maiñ faqīr-e-āstāñ huuñ mujhe bandagī sikhā de
Ghazal
meri lau lagi hai tujhse gham-e-zindagi miTa de
mujhe shauq-e-bandagī meñ yahī ek aarzū hai
tirā naqsh-e-pā jahāñ ho mirā sar vahīñ jhukā de
Ghazal
meri lau lagi hai tujhse gham-e-zindagi miTa de
kahte haiñ aañkh aañkh se milnā hai bandagī
duniyā ke chhoḌ kaam! zarā aañkh to milā
Ghazal
ai husn-e-lala-fam! zara aankh to mila
sujūd-e-bandagī be-kār ijz-e-ishq lā-hāsil
ye sach hai maiñ tire qābil na thā tū mere qābil thā
Ghazal
haqiqat samne thi aur haqiqat se main ghafil tha
bandagī terī ḳhudā.ī se bahut hai aage
naqsh-e-sajda hai tire naqsh-e-qadam se pahle
Sher
bandagi teri KHudai se bahut hai aage

Top Urdushayar.com