Tags-Chehra

ġhulāmī aaj bhī hai aur āqā.ī kī sūrat meñ
adā-e-jabr-e-sultānī jo pahle thī vo ab bhī hai
Ghazal
KHirad ki fitna-samani jo pahle thi wo ab bhi hai
visāl-e-jism kī sūrat nikal to aatī hai
diloñ meñ hijr kā mausam bahāl rahtā hai
Ghazal
kahin pe jism kahin par KHayal rahta hai
roz Duube roz ubhre ham magar
sūrat-e-shams o qamar chalte rahe
Ghazal
sham se hum ta sahar chalte rahe
ik dā.era-e-fikr meñ mahdūd hai aalam
har pā-e-nazar sūrat-e-parkār lage hai
Ghazal
is tarah se kashti bhi koi par lage hai
taḳhayyul tasavvur tashāboh tavāzun
is arba.a kī yakjā.ī sūrat ġhazal
Ghazal
mohabbat ghazal hai ibaadat ghazal hai
tuul khīñchā hai yuuñ shab-e-ġham ne
kisī sūrat sahar nahīñ hotī
Ghazal
sham-e-gham ki sahar nahin hoti
kahāñ se loge vo sūrat vo kam-sinī kā jamāl
ham apne gosha-e-dil meñ chhupā.e baiThe haiñ
Ghazal
kahin se ghair jo pahlu mein aae baiThe hain
nikāl koī to sūrat ki fāsle na raheñ
qarīb aa mire yā phir mujhe ishāra kar
Ghazal
na KHud-sari mein hasin roz-o-shab guzara kar
magar sach hai ki ik sūrat kisī kī
hamārī aañkh kā kājal rahī hai
Ghazal
kisi ki yaad mein be-kal rahi hai
pyāre tirī sūrat se bhī achchhī hai jo tasvīr
maiñ ne tujhe rakkhī hai dikhāne ke liye, aa
Ghazal
zaKHmon ke nae phul khilane ke liye aa
din kī sūrat nazar aate hī mirī raat huī
baazī āġhāz na paa.ī thī ki shah maat huī
Qita
din ki surat nazar aate hi meri raat hui
bayāz-e-dil par ġhazal kī sūrat raqam kiye haiñ
tire karam bhī tire sitam bhī hisāb saare
Ghazal
na sah saka jab masafaton ke azab sare
ba-harf-e-sūrat inkār toḌ dī maiñ ne
diloñ ke biich kī dīvār toḌ dī maiñ ne
Ghazal
ba-harf-e-surat inkar toD di maine
nikal jā.egī sūrat aa.ine se
hamāre ghar meñ hairānī rahegī
Ghazal
chalo itni to aasani rahegi
kis ke majrūh gulistāñ meñ haiñ madfūñ jo hanūz
ġhunche aate haiñ nazar sūrat-e-paikāñ mujh ko
Sher
kis ke majruh gulistan mein hain madfun jo hanuz
havā ne ret kī sūrat zamīñ pe likh dī hai
dikhā.ī detī hai patthar kī dāstān mujhe
Ghazal
dikhata kya hai ye TuTi hui kaman mujhe
aañkh ho ojhal to phir kohsār bhī ojhal haiñ sab
ik yahī sūrat tire dukh dard bahlāne kī thī
Ghazal
baat koi ek pal uske dhyan ke aane ki thi
zauq hāsil unheñ hotā hai har yak sūrat se
rañg-o-be-rañgī se har aan bane baiThe haiñ
Ghazal
DhunDh hum un ko pareshan bane baiThe hain
baat ye hai ki hayūlā se hai sūrat paidā
har yak ajsām meñ rahmān bane baiThe haiñ
Ghazal
DhunDh hum un ko pareshan bane baiThe hain
chup ke aalam meñ vo tasvīr sī sūrat us kī
boltī hai to badal jaatī hai rañgat us kī
Ghazal
chup ke aalam mein wo taswir si surat uski

Top Urdushayar.com