Tags-Dhoka

fareb-e-ārzū kī sahl-añgārī nahīñ jaatī
ham apne dil kī dhaḌkan ko tirī āvāz-e-pā samjhe
Ghazal
wo ahd-e-gham ki kahish-ha-e-be-hasil ko kya samjhe
na jaane aa gayā dām-e-fareb meñ kaise
thā sabz baaġh jo mujh ko dikhā gayā ik shaḳhs
Ghazal
hinsa ke pahle mujhe phir rula gaya ek shaKHs
naqāb itne haiñ chehroñ pe kyā haTāoge
har ek baar haTāo har ek baar fareb
Ghazal
ye dosti ye mohabbat ye inkisar fareb
qadam qadam pe ta.alluq qadam qadam rishte
ye baar baar dilāse ye baar baar fareb
Ghazal
ye dosti ye mohabbat ye inkisar fareb
ye dostī ye mohabbat ye inkisār fareb
ye ham-navā ye muāvin ye mere yaar fareb
Ghazal
ye dosti ye mohabbat ye inkisar fareb
mirī hayāt mire roz-o-shab mirī duniyā
ye iḳhtiyār numā.ish ye e'tibār fareb
Ghazal
ye dosti ye mohabbat ye inkisar fareb
ḳhalish jigar meñ hai aur tajziya hai āñkhoñ kā
baḌe salīqe se dete haiñ ġham-gusār fareb
Ghazal
ye dosti ye mohabbat ye inkisar fareb
ajiib rañg-e-vafā hai ajiib tarz-e-sitam
na dil-pazīr mohabbat na shāndār fareb
Ghazal
ye dosti ye mohabbat ye inkisar fareb
qadam qadam pe diyā hai fareb rahbar ne
jo rahbarī use kahiye to rahzanī kyā hai
Ghazal
alam maal agar hai to phir KHushi kya hai
namāz-e-ishq jo shāmil nahīñ ibādat meñ
fareb-e-kufr sarāsar hai bandagī kyā hai
Ghazal
alam maal agar hai to phir KHushi kya hai
maiñ nazr kar duuñ use ye lahūluhān badan
fareb-ḳhurda aqīdat kā qāfila mil jaa.e
Ghazal
kahan pe bichhDe the hum log kuchh pata mil jae
lipaT ga.e haiñ paañv se lahū meñ jazb ho ga.e
maiñ naqsh-pā-e-umr huuñ fareb-ḳhurda-e-ḳhushī
Nazm
naqsh-e-pa
chamak damak par miTā huā hai ye bāġhbāñ tujhko kyā huā hai
fareb-e-shabnam meñ mubtalā hai chaman kī ab tak ḳhabar nahīñ hai
Ghazal
majaz kaisa kahan haqiqat abhi tujhe kuchh KHabar nahin hai
zāhir fareb-e-va.ada phir e'tibār itnā
vo likh gayā diloñ par jo kah diyā zabāñ se
Ghazal
ye dastan-e-dil hai kya ho ada zaban se
āñkhoñ meñ e'tibār kā mausam basā rahā
mujh ko fareb de ke vo sūrat guzar ga.ī
Ghazal
sanson ko de ke tohfa-e-nikhat guzar gai
vīrāniyoñ ko apnā muqaddar samajh liyā
saare fareb sah ke vo chup meñ utar ga.e
Ghazal
bechainiyon ke rang sawalon mein bhar gae
ye kaisī vaqt ne badlī hai karvaT
fareb-e-zindagī hai aur maiñ huuñ
Ghazal
ye mausam surmai hai aur main hun
shām-e-visāl se ho kyā mahv-e-fareb-e-ārzū
yaad nahīñ rahī hameñ sub.h-e-vidā-e-yār kyā
Ghazal
bais-e-imbisat ho aamad-e-nau-bahaar kya
fareb khaa.e haiñ rañg-o-bū ke sarāb ko pūjtā rahā huuñ
magar natā.ej kī raushnī meñ ḳhud apnī manzil pe aa rahā huuñ
Nazm
aadam-e-nau ka tarana-e-safar
zindagī-bhar mere apnoñ ne diyā mujh ko fareb
the jo begāne unhoñ ne aa ke apnāyā mujhe
Ghazal
ye jahan-e-ab-o-gil lagta hai ek maya mujhe

Top Urdushayar.com