Tags-Duniya

mujhe ye zindagī nuqsān kā saudā nahīñ lagtī
maiñ aane vaalī duniyā ko bhī taḳhmīne meñ rakhtā huuñ
Sher
mujhe ye zindagi nuqsan ka sauda nahin lagti
jahāñ ḳhulūs ne khaa.ī shikast duniyā se
vahīñ junūn ne uTh kar mujhe sambhālā hai
Ghazal
falak hai surKH magar aaftab kala hai
husn kī duniyā ke saath un kī taraf duniyā-e-ishq
aur yahāñ dil hī na thā aur thā bhī to dīvāna thā
Ghazal
unki chashm-e-mast mein poshida ek mai-KHana tha
jiine kī har tarah se tamannā hasīn hai
har shar ke bāvajūd ye duniyā hasīn hai
Nazm
aaKHiri lamha
bhalā tujh ko duniyā meñ koī kyuuñ ki paave
na ghar kahīñ terā kahīñ na vatan hai
Ghazal
jahan mein jo kai gul-badan KHush-nayan hai
rāhat-e-anjām-e-ġham aur rāht-e-duniyā mālūm
likh diyā dil ke muqaddar meñ pareshāñ honā
Ghazal
hasil-e-ilm-e-bashar jahl ka irfan hona
pukārtī hai mujhe tere naam se duniyā
badal ke rakh diye tū ne mire kavā.if bhī
Ghazal
niDar bhi zat mein apni hun KHud se KHaif bhi
ik tabīb-e-ādmiyat ne kahā hai saaf saaf
zahr duniyā kī ragoñ meñ sab fasād-e-zar kā hai
Ghazal
KHair ka tujhko yaqin hai aur usko shar ka hai
khoToñ ko bhī kharā batānā paḌtā hai
duniyā kā dastūr nibhānā paḌtā hai
Ghazal
khoTon ko bhi khara batana paDta hai
saḳhtiyāñ ustād haiñ insāñ kī duniyā meñ 'habīb'
karte haiñ maġhlūb ko ġhālib sikhā ke joḌ-toḌ
Ghazal
chal nahin sakte wahan zehn-e-rasa ke joD-toD
duniyā mujh ko pāgal pāgal kahtī hai
ab maiñ pāgal ho jā.ūñgā lagtā hai
Ghazal
din bhar jaane kis kis se ye milta hai
karbalā hī ne kiye haiñ murtasim dil par nuqūsh
varna is duniyā meñ ġham kī vārdāteñ kam nahīñ
Ghazal
kar-nama ai gham-e-dil kuchh tera ye kam nahin
apnoñ se bhī itnā takalluf
kitne duniyā-dār bane ho
Sher
apnon se bhi itna takalluf
paanī pe makāñ jaise makīñ aur kahīñ ġham
kuchh aise nazar aa.ī thī duniyā sar-e-sāhil
Ghazal
jab raushni chamki to uThaya sar-e-sahil
ā.īna-e-nigāh meñ aks-e-shabāb hai
duniyā samajh rahī hai ki āñkhoñ meñ ḳhvāb hai
Ghazal
aaina-e-nigah mein aks-e-shabab hai
ahl-e-dil ne kiye ta.amīr haqīqat ke sutūñ
ahl-e-duniyā ko rivāyāt pe ronā aayā
Ghazal
aaj phir un se mulaqat pe rona aaya
muTThī se ret paañv se kāñTā nikal na jaa.e
maiñ dekhtā rahūñ kahīñ duniyā nikal na jaa.e
Sher
muTThi se ret panw se kanTa nikal na jae
kabhī sañg-e-malāmat sah ke is duniyā ko taj denā
kabhī apne hī raste meñ kisī dīvār sā rahnā
Ghazal
kisi ke pyar mein har dam gul-o-gulzar sa rahna

Top Urdushayar.com