Tags-Gham

ġham-e-zamāna se fursat nahīñ magar phir bhī
'majīd' chal tujhe pīr-e-muġhāñ ne yaad kiyā
Ghazal
jahan ko chhoD diya tha jahan ne yaad kiya
nā-sāz zamāne kā nahīñ ġham
haañ kaar zamāna-sāz kiije
Ghazal
pamal-e-KHiram-e-naz kije
ilāhī zindān-e-ġham se paave na jīte-jī vo kabhī rihā.ī
ki jis ke bahkā.e se ab us ne dil apnā ham se phañsā chhuḌāyā
Ghazal
amal kuchh aisa kiya adu ne ki ishq baham laga chhuDaya
pā.eñge ḳhushī bhī ham ranj-o-ġham bhī jheleñge
is jahān meñ jab tak apnā āb-o-dāna hai
Ghazal
ek taraf talab teri ek taraf zamana hai
āñkhoñ meñ abhī tak hai ḳhumār-e-ġham-e-jānāñ
jaise ki koī ḳhvāb-e-mohabbat se hai jaagā
Ghazal
is darja hua KHush ki Dara dil se bahut main
ye ḳhulāsa hai daftar-e-ġham kā
kahīñ shikva hai iltimās kahīñ
Ghazal
be-kasi mein yahi hun pas kahin
shikast-e-sāz-e-mohabbat se sozish-e-ġham se
har ek āriz-e-gulgūñ se shabnam-ālūda
Nazm
sargoshi
ġham meñ bhī ham ḳhush rahte haiñ
ġham sahne kī taab na dekho
Ghazal
khiDki se mahtab na dekho
shām-e-ġham kī baat ab kyuuñ ho 'shafaq'
har nafas talvār ho kar rah ga.ī
Ghazal
har ghaDi bimar ho kar rah gai
ġham-e-kaunain kā magar yārab
kyā mujhī ko javāb honā thā
Ghazal
mustaqil iztirab hona tha
zabt-e-ġham maut kā paiġhām huā jaatā hai
dil kī bātoñ meñ mirā kaam huā jaatā hai
Ghazal
dil mera KHugar-e-alam hua jata hai
kuchh aur phail ga.iiñ dard kī kaThin rāheñ
ġham-e-firāq ke maare jidhar se guzre haiñ
Ghazal
hazar gardish-e-sham-o-sahar se guzre hain
tum agar chāhte ho sab tumheñ hañs hañs ke mileñ
apnā ġham apne hī siine meñ chhupā.e rakhnā
Ghazal
ho na kuchh baat magar shor machae rakhna
ye hamārā hī kaleja hai ki tere ġham ko
dil kī mānind kaleje se lagā.e rakhnā
Ghazal
ho na kuchh baat magar shor machae rakhna
halqa-e-zanjīr se niklā na ye pā-e-junūñ
ġham nahīñ bāhar gayā go halqa-e-islām se
Sher
halqa-e-zanjir se nikla na ye pa-e-junun
ye ġham phir se ubhartā jā rahā hai
mujhe hairān kartā jā rahā hai
Ghazal
ye gham phir se ubharta ja raha hai
kyā patā siina jalā detī hamārā ġham kī aag
ham jo apnī tarah 'āzar' us ko tanhā dekhte
Ghazal
muntazir aankhon mein jamta KHun ka dariya dekhte
fanā ke āḳhirī lamhe talak husain mire
rahegī ġham meñ tire kā.enāt sharminda
Ghazal
maqam-o-ab hue sath sath sharminda
ye aañsū rok rakhe haiñ ba-mushkil din guzāre haiñ
tumheñ dikhte nahīñ haiñ jo sabhī vo ġham tumhāre haiñ
Ghazal
ye aansu rok rakhe hain ba-mushkil din guzare hain
dostoñ kī rifāqateñ bhī durust
bhuul jaane kā ġham sivā lekin
Nazm
ham-zad

Top Urdushayar.com