Tags-Ishq

pūchhtā hāsil zamāna ishq kā
chāhatoñ meñ dūriyāñ haiñ aur kyā
Ghazal
waqt ki nakaamiyan hain aur kya
tishnagī-e-ishq ho be-intihā
jhuuT sab dushvāriyāñ haiñ aur kyā
Ghazal
waqt ki nakaamiyan hain aur kya
faqīr-e-ishq haiñ apnā koī Thikānā hai kyā
havā meñ uḌte rahe pāniyoñ par chalte rahe
Ghazal
kushud-e-kar ki KHatir KHuda badalte rahe
husn taqvā-shikan sahī lekin
ishq ḳhāna-ḳharāb hai pyāre
Ghazal
aap apni naqab hai pyare
maiñ vus.atoñ kā talabgār apne ishq meñ huuñ
vo merī zaat meñ ik yarġhamāl chāhtī hai
Ghazal
jabin-e-shauq pe gard-e-malal chahti hai
ishq meñ ḳhuub niiñ bahut ronā
is se ifshā-e-rāz hotā hai
Sher
ishq mein KHub nin bahut rona
ishq meñ kaun dil jalā.e ab
vajd meñ ik safar se miltā huuñ
Ghazal
roz main ek shajar se milta hun
husn ko aatā hai jab apnī zarūrat kā ḳhayāl
ishq par lutf kī barsāt bhī ho jaatī hai
Ghazal
munqalib surat-e-haalat bhi ho jati hai
ishq to ab sher kahne kā bahāna rah gayā
harf ko rakhtā huuñ raushan sho.ala-e-afkār se
Ghazal
din hua kaT kar gira main raushni ki dhaar se
ġham hai khāne ko ashk piine ko
ishq meñ kyā farāġh-e-dastī hai
Ghazal
gham ki basti ajib basti hai
mujh ko sharāb-e-ishq pilā ne kī der thī
maiñ ne bhī kā.enāt ko maḳhmūr kar diyā
Ghazal
ai dost tu ne war ye bharpur kar diya
detī haiñ mujh ko ta.ane mirī sab saheliyāñ
kahtī haiñ tujh ko ishq ne maġhrūr kar diyā
Ghazal
ai dost tu ne war ye bharpur kar diya
dil ishq ne itnā bhī na chhoḌā ki jo kahveñ
taqsīm juz-e-lā-yatajazzā nahīñ hotā
Ghazal
jis dil mein teri zulf ka sauda nahin hota
karo kaj jabīñ pe sar-e-kafan mire qātiloñ ko gumāñ na ho
ki ġhurūr-e-ishq kā bāñkpan pas-e-marg ham ne bhulā diyā
Sher
karo kaj jabin pe sar-e-kafan mere qatilon ko guman na ho
ab ishq ko be-naqāb kar ke
maiñ husn ko aazmā rahā huuñ
Ghazal
har sans ke sath ja raha hun
āzād ishq-e-yār ne ham ko banā diyā
māl-o-matā' kā huuñ na maiñ ḳhvāhāñ kisī tarah
Ghazal
yaad-e-KHuda se aaya na iman kisi tarah
ab kisī kaam ke nahīñ ye rahe
dil vafā ishq aur tanhā.ī
Sher
ab kisi kaam ke nahin ye rahe
havas meñ ishq meñ tahzīb-e-tarbiyat kā hai farq
vagarna donoñ usī maktab-e-badan ke haiñ
Ghazal
jo is chaman mein ye gul sarw-o-yasman ke hain
majnūñ haiñ magar ḳhvāhish-e-lailā nahīñ karte
ham ishq to karte haiñ tamannā nahīñ karte
Sher
majnun hain magar KHwahish-e-laila nahin karte
kabhī koī bābat-e-husn ham se jo pūchhtā
to ham ahl-e-ishq javāb meñ tujhe dekhte
Ghazal
ye KHayal tha kabhi KHwab mein tujhe dekhte

Top Urdushayar.com