Tags-Khuda

kahīñ tumhīñ ko tumhārī nazar na ho jaa.e
na dekho aa.ina ai jān-e-man ḳhudā ke liye
Ghazal
jahan mein hai har ek ik na ek ada ke liye
hai ek ghūñT bahut shaiḳh-e-pārsā ke liye
gilās bhar ke na do mai-kasho ḳhudā ke liye
Ghazal
jahan mein hai har ek ik na ek ada ke liye
kyā ye but baiTheñge ḳhudā ban kar
allāh allāh ai barahman kar
Ghazal
kya ye but baiThenge KHuda ban kar
masāf-e-razm se hargiz na jā ā.īna-ḳhānoñ meñ
ḳhudā kā sher-dil āfāt ke qālib meñ Dhaltā hai
Ghazal
gham-e-afaq mein aarif agar karwaT badalta hai
ḳhudā-āgāh kā har har nafas dars-e-tayaqqun hai
hayā-begāna taḳhrībī hamesha chaal chaltā hai
Ghazal
gham-e-afaq mein aarif agar karwaT badalta hai
bahut dushvār hai chalnā sirāt-e-dīn-e-fitrat par
ḳhudā kī justujū meñ har nafas sho.ala ugaltā hai
Ghazal
gham-e-afaq mein aarif agar karwaT badalta hai
dair-o-ka.aba kī azmat musallam magar
mai-kada bhī ḳhudā hī ke ghar sā lage
Ghazal
dair-o-kaba ki azmat musallam magar
ḳhudā ek hai yuuñ to vāvian meñ saaf likkhā huā hai
magar zer-e-vāvain bhī chhoTī chhoTī bahut taḳhtiyāñ haiñ
Nazm
apahij gaDi ka aadmi
na lete naam bhī vo zulm kā bhūle se duniyā meñ
agar itnā samajh lete ki hai pesh-e-ḳhudā jaanā
Ghazal
yun hi hai nur wahdat ka dil-e-insan mein aa jaana
ḳhud ko to 'nadīm' āzmāyā
ab mar ke ḳhudā ko āzmā.ūñ
Ghazal
ji chahta hai falak pe jaun
jo rāhoñ ke patthar the kyā ho ga.e haiñ
shivāloñ meñ jā kar ḳhudā ho ga.e haiñ
Ghazal
jo rahon ke patthar the kya ho gae hain
jis ne is daur ke insān kiye haiñ paidā
vahī merā bhī ḳhudā ho mujhe manzūr nahīñ
Sher
jis ne is daur ke insan kiye hain paida
mujh ko bikhrāyā gayā aur sameTā bhī gayā
jaane ab kyā mirī miTTī se ḳhudā chāhtā hai
Ghazal
ek suraKH sa kashti mein hua chahta hai
ḳhudā ābād rakkhe mai-kade ko
bahut saste chhuTe duniyā-o-dīñ se
Sher
KHuda aabaad rakkhe mai-kade ko
maiñ pareshāñ thā pareshāñ huuñ na.ī baat nahīñ
aaj to vo bhī pareshāñ haiñ ḳhudā ḳhair kare
Sher
main pareshan tha pareshan hun nai baat nahin
butoñ ko bhuul jaate haiñ ḳhudā ko yaad karte haiñ
barahman jab safar sū-e-allahabad karte haiñ
Ghazal
buton ko bhul jate hain KHuda ko yaad karte hain
har ek dar pe jabīñ Tekte ye sajda-guzār
ḳhudā kī khoj meñ nikle the aur ḳhudī se ga.e
Ghazal
shaguftagi se gae, dil-giraftagi se gae
ḳhudā kare na kabhī mil sake davām-e-visāl
jiyeñge ḳhaak agar tere ḳhvāb hī se ga.e
Ghazal
shaguftagi se gae, dil-giraftagi se gae
bāñdh le bahr-e-ḳhudā apne bhare baazū par
nazar-e-bad se bachā.egā nazar kā ta.avīz
Ghazal
le gaya ghar se unhen ghair ke ghar ka tawiz
bīmār jab supurd-e-ḳhudā kar diyā to phir
ab kis liye duāoñ kā nazrāna chāhiye
Ghazal
josh-e-junun ko koi bhi paimana chahiye

Top Urdushayar.com