Tags-Sahil

nigahbāñ the jo sāhil par hamārī kashtiyoñ ke
vo sab ke sab sar-e-girdāb ruḳhsat ho ga.e haiñ
Ghazal
jo dekhe the wo sare KHwab ruKHsat ho gae hain
Dūbne jā.egā shāyad koī māyūs visāl
majma-e-ām sunā hai lab-e-sāhil hogā
Ghazal
na falak hoga na ye kucha-e-qatil hoga
yādoñ kā ik hujūm thā tanhā nahīñ thā maiñ
sāhil kī chāñdnī meñ samundar sharāb pī
Ghazal
humne kisi ki yaad mein akasr sharab pi
sāhil kī ret chāñd ke muñh par na Dāliye
himmat jo ho to bahr se motī nikāliye
Ghazal
sahil ki ret chand ke munh par na Daliye
talātum-ḳhez dariyā aur ye sāhil se nazzāra
har ik mauj-e-talātum be-karāñ ma.alūm hotī hai
Ghazal
mohabbat mein KHushi bhi kahkashan malum hoti hai
kyuuñ dauḌ ke aatī haiñ idhar maujeñ musalsal
kyā kam hai samundar meñ jo sāhil meñ chhupā hai
Ghazal
wo kaun hai wo kya hai jo is dil mein chhupa hai
ahl-e-sāhil se nadāmat sī nadāmat hai ki ham
ek kashtī-e-tah-e-āb kā sāmān bane
Ghazal
dil-shikasta hue TuTa hua paiman bane
log sāhil pe Duub jā.eñge
tum samundar pe iktifā karnā
Ghazal
har kisi ke liye dua karna
Thahro aur ek nazar vaqt kī tahrīr paḌho
reg-e-sāhil pe ram-e-mauj ne likhā kyā hai
Ghazal
dil tha pahlu mein to kahte the tamanna kya hai
samundar ye tirī ḳhāmoshiyāñ kuchh aur kahtī haiñ
magar sāhil pe TuuTī kashtiyāñ kuchh aur kahtī haiñ
Ghazal
samundar ye teri KHamoshiyan kuchh aur kahti hain
kis vāste sāhil pe khaḌe ho shashdar
hāthoñ meñ liye tīra-dilī ke patthar
Rubaai
kis waste sahil pe khaDe ho shashdar
mausīqī-e-husn kī maujeñ thī kuchh āñkhoñ meñ kuchh pyāloñ meñ
jo sāhil-e-dil tak ho aa.eñ yādoñ ke ek safīne meñ
Ghazal
jab dard ki shaMein jalti hain ehsas ke nazuk sine mein
jitne saaqī the mire sab nazr-e-tūfāñ ho ga.e
aur kosoñ duur hai sāhil kise āvāz duuñ
Ghazal
ye bata de mujhko mere dil kise aawaz dun
jab shaam utartī hai kyā dil pe guzartī hai
sāhil ne bahut pūchhā ḳhāmosh rahā paanī
Sher
jab sham utarti hai kya dil pe guzarti hai
karachi kisī dev-qad kekḌe kī tarah
samundar ke sāhil pe paañv pasāre paḌā hai
Nazm
baDa shahr
Dūbne vaale ko sāhil se sadā.eñ mat do
vo to Dūbegā magar Dūbnā mushkil hogā
Sher
Dubne wale ko sahil se sadaen mat do
aa gayā lījiye sāhil-e-hastī
maiñ baḌe imtihān se niklā
Ghazal
apne wahm-o-guman se nikla
Dūbtā hī rahā aur ḳhāmosh thā
dekhtā rah gayā der sāhil mujhe
Ghazal
le kahin dur chal ai gham-e-dil mujhe
a.amāl-e-'habīb'-e-jigar-afgār kī kashtī
sāhil pe pahuñch jā.egī ashkoñ kī tarī se
Ghazal
fariyaad bhi main kar na saka be-KHabari se

Top Urdushayar.com