Tags-Shaam

patjhaḌ kī havā barfīlī hai
is shaam kī rañgat piilī hai
Nazm
ban-bas ki ek sham
har shaam zindagī kā nayā ḳhvāb le ke aa.e
har sub.h apnī maut kā manzar dikhā.ī de
Ghazal
diwar ab kahin na koi dar dikhai de
gardish-e-charḳh nahīñ kam bhī hanDole se ki mahr
shaam ko maah se ūñchā hai sahar hai nīchā
Sher
gardish-e-charKH nahin kam bhi hanDole se ki mahr
usī kī raushnī kaam aa.ī umr-bhar apne
jo ik sitāra faqat shām-bhar hamārā huā
Ghazal
na ghaT hai koi apna na ghar hamara hua
koī to sarhad-e-ḳhāmosh toḌ saktā thā
sukūt-e-shām yahāñ tah-ba-tah utartī hai
Ghazal
darun-e-jism ki diwar se ubharti hai
qalb par jis ke numāyāñ nuur o zulmat kā nizām
munkashif jis kī farāsat par mizāj-e-sub.h-o-shām
Nazm
kisan
ḳhāmushī aur ḳhāmushī meñ sansanāhaT kī sadā
shaam kī ḳhunkī se goyā din kī garmī kā gilā
Nazm
kisan
sub.h se chalte chalte āḳhir shaam huī āvāra-e-dil
ab maiñ kis manzil meñ pahuñchā ab ghar kitnī duur rahā
Sher
subh se chalte chalte aaKHir sham hui aawara-e-dil
yaad aatī hai achchhī sī koī baat sar-e-shām
phir sub.h talak sochte rahte haiñ vo kyā thī
Sher
yaad aati hai achchhi si koi baat sar-e-sham
sub.h-e-gul ho ki shām-e-mai-ḳhāna
mad.h us rū-e-nāznīñ kī hai
Ghazal
teri surat jo dil-nashin ki hai
phir ek shaam pazīrā.ī chashm-e-tar kī huī
phir ek shaam guzārī ga.ī janāb ke saath
Ghazal
dayar-e-shauq mein aae the ek KHwab ke sath
ba-vaqt-e-shām samundar meñ gir gayā sūraj
tamām din kī thakan se niDhāl aisā thā
Sher
ba-waqt-e-sham samundar mein gir gaya suraj
apne mehvar pe shaam tak sūraj
kitne hī zāviye badaltā hai
Ghazal
aahaTon se dimagh jalta hai
guzre hue din kā ho agar zikr 'sadaf'
guzrī hai jo ik shaam suhānī likhnā
Ghazal
lafzon ko saja kar jo kahani likhna
sūraj thā vo to shaam se pahle hī Dhal gayā
niile ufuq pe aur bhī haiñ be-shumār chāñd
Ghazal
kya jaane kis ki dhun mein raha dil-figar chand
kab mahkegī fasl-e-gul kab bahkegā mai-ḳhāna
kab sub.h-e-suḳhan hogī kab shām-e-nazar hogī
Ghazal
kab Thahrega dard ai dil kab raat basar hogi
ho nahīñ saktā tirī is ''ḳhush-mazāqī'' kā javāb
shaam kā dilkash samāñ aur tere hāthoñ meñ kitāb
Nazm
ek dost ki KHush-mazaqi par
mire tasavvur ke rāstoñ meñ ubhar ke Duubī hazār aahaT
na jaane shām-e-alam se mil kar kahāñ saverā palaT gayā hai
Ghazal
visal ki sarhadon tak aa kar jamal tera palaT gaya hai
shaam ke vaqt to koThe pe jo aatā hai kabhī
dekh kar tujh ko ye ḳhurshed chhupā jaatā hai
Ghazal
kaun is bagh se ai baad-e-saba jata hai
raste meñ shaam ho ga.ī qissa tamām ho chukā
jo kuchh bhī thā ai zindagī vo tere naam ho chukā
Ghazal
raste mein sham ho gai qissa tamam ho chuka

Top Urdushayar.com