Tags-Subah

koī chupke se mere siine meñ
sub.h kā nuur ghol jaatā hai
Nazm
jab tamannaen muskuraati hain
jab vo hañste hue aate haiñ ḳhayāloñ meñ 'kalīm'
shām-e-ġham sub.h-e-masarrat meñ badal jaatī hai
Ghazal
jab sar-e-sham koi yaad machal jati hai
dard-e-tanhā.ī se sote-jāgte kaaTī thī raat
sub.h ne marham rakhā aisā gavārā ho gayā
Ghazal
husn-e-be-parwa ne jab chaha huwaida ho gaya
rāt-bhar saath thā magar 'nādir'
sub.h-dam kar gayā kinārā chāñd
Ghazal
gham ke maron ka hai sahaara chand
dil ke sunsān khañDar meñ koī naġhma jaagā
aañkh maltī huī ik sub.h bayābāñ se uThī
Nazm
subh-e-sadiq
maza to jab hai ki vo āftāb-e-sub.h-e-jamāl
gale lipaT ke sar-e-shām-e-intizār mile
Ghazal
chaman mein Khaar hi kya gul bhi dil-figar mile
aa.ina hote hue apnā uruuj aur zavāl
matla.a-e-sub.h se maġhrib kī azaañ tak dekhūñ
Ghazal
hai wahi manzar-e-KHun-rang jahan tak dekhun
raat zanjīr kī āvāz jo kuchh tez huī
sub.h dīvār pe dīvār uThā dī us ne
Ghazal
panw jab ho gae patthar to sada di usne
har-chand apnā nāma-e-isyāñ siyāh ho
hogā safed sub.h hai har shaam ke liye
Ghazal
naz-o-ada hai tujhse dil-aram ke liye
'ātish' jo chāhe paa.e tavakkul ke mahkame
jo sub.h ko mile na rahe shaam ke liye
Ghazal
naz-o-ada hai tujhse dil-aram ke liye
aañkh se aañsū Tapkā hogā
sub.h kā taarā TuuTā hogā
Ghazal
aankh se aansu Tapka hoga
dil ko chain aayā to uThne lagā tāroñ kā ġhubār
sub.h le niklī mire haath meñ aa.ī huī raat
Ghazal
waqt ki taq pe donon ki sajai hui raat
jab ayaañ sub.h ko vo nūr-e-mujassam ho jaa.e
gauhar-e-shabnam-e-gul nayyar-e-āzam ho jaa.e
Ghazal
jab ayan subh ko wo nur-e-mujassam ho jae
āḳhirash guzrī 'sabīha' ye añdherī shab bhī
ḳhair se sub.h ke āsār nazar aate haiñ
Ghazal
be-sabab humse wo bezar nazar aate hain
ye sub.h-o-shām mulāqāt hai ajīran sī
kabhī-kabhār kā milnā tabarrukāt meñ thā
Ghazal
main Khaal-o-KHad ka sarapa tasawwuraat mein tha
ham shām-e-ġham ko sub.h-e-masarrat kā naam deñ
sūraj kareñ tulūa na kyuuñ tīrgī se ham
Ghazal
manus ho gae hain gham-e-zindagi se hum
har pañkhuḌī ke taaq meñ hañs hañs ke sub.h ko
sham.eñ jalā rahī hai kiran āftāb kī
Ghazal
main ro raha hun teri nazar hai itab ki
baiThā hī rahā sub.h se meñ dhuup Dhale tak
saaya hī samajhtī rahī dīvār mujhe bhī
Sher
baiTha hi raha subh se mein dhup Dhale tak
urūs-e-sub.h ne lī hai machal ke añgḌā.ī
sabā kī narmī-e-raftār hai surūr-añgez
Qita
urus-e-subh ne li hai machal ke angDai
niiñd aa.e bhī to tasbīh-e-badan karte hue
aur phir saath uTheñ sub.h kā taarā dekheñ
Ghazal
shab ko har rang mein sailab tumhaara dekhen

Top Urdushayar.com