Tags-Wahm

is vahm se ki niiñd meñ aa.e na kuchh ḳhalal
ahbāb zer-e-ḳhāk sulā kar chale ga.e
Sher
is wahm se ki nind mein aae na kuchh KHalal
tū sirf merī hai us kā ġhurūr hai mujh ko
agar ye vahm merā hai to koī baat nahīñ
Sher
tu sirf meri hai us ka ghurur hai mujhko
jo kahīñ thā hī nahīñ us ko kahīñ DhūñDhnā thā
ham ko ik vahm ke jañgal meñ yaqīñ DhūñDhnā thā
Ghazal
jo kahin tha hi nahin usko kahin DhunDhna tha
mū ko abas hai taab kalī yuuñ hī tañg hai
us kā dahan hai vahm-o-gumān-o-kamar ḳhayāl
Ghazal
kaisa chaman asiri mein kis ko idhar KHayal
vo siyāh-baḳht jo raat ko tire dām-e-zulf meñ phañs gayā
use aa ke vahm-o-ḳhayāl ke lage Dasne saikḌoñ naag se
Ghazal
bhale aadmi kahin baz aa are us pari ke suhag se
bad-gumāñ ye huuñ ki saath uTh ke chalā jaatā huuñ
vahm gar kūcha-e-jānāñ kī taraf jaatā hai
Ghazal
dil nahin us lab-e-KHandan ki taraf jata hai
vasl-o-firāq vahm sahī dil-lagī to hai
phir ham kahāñ jo parda-e-rāz-e-nihāñ uThā
Ghazal
ruswa hue baghair na naz-e-butan uTha
jo na vahm-o-gumān meñ aave
kis tarah tere dhyān meñ aave
Ghazal
jo na wahm-o-guman mein aawe
chhoḌ kar bār-e-sadā vo be-sadā ho jā.egā
vahm thā merā ki patthar ā.īna ho jā.egā
Ghazal
chhoD kar bar-e-sada wo be-sada ho jaega
zindagī silsila-e-vahm-o-gumāñ hai yaaro
dil-e-betāb ko taskīn kahāñ hai yaaro
Ghazal
zindagi silsila-e-wahm-o-guman hai yaro
al-haq ki nahīñ hai ġhair hargiz maujūd
jab tak ki hai vahm ġhair haq hai mafqūd
Rubaai
al-haq ki nahin hai ghair hargiz maujud
ummīd TūTne lagtī hai jab bhī koī 'salīm'
to ik yaqīñ pas-e-vahm-o-gumāñ bulātā hai
Ghazal
kabhi sitare kabhi kahkashan bulata hai
mujhe nahīñ hai koī vahm apne baare meñ
bharo na had se ziyāda havā ġhubāre meñ
Ghazal
mujhe nahin hai koi wahm apne bare mein
unheñ gumāñ ki mujhe un se rabt hai 'sālim'
mujhe ye vahm unheñ iltifāt hai shāyad
Ghazal
mata-e-dard maal-e-hayat hai shayad
falsafoñ ke dhāgoñ se khīñch kar sirā dil kā
vahm se haqīqat tak ham ne silsila paayā
Ghazal
soch kar bhi kya jaana jaan kar bhi kya paya
yak-tā.i-e-jamāl kī hairat na pūchhiye
har mā-sivā ke vahm se be-zār kar ga.e
Ghazal
kuchh is tarah nigah se izhaar kar gae
ai shauq burā is vahm kā ho maktūb tamām apnā na huā
vaañ chehre pe un ke ḳhat niklā yaañ bhūle hue alqāb haiñ ham
Ghazal
DhunDoge agar mulkon mulkon milne ke nahin nayab hain hum
vahm ke is jañgal se bāhar jaane ko
kabhī kabhī ek raah nazar to aatī hai
Nazm
dhund
kabhī to rishtoñ ko ḳhuun ke bhī fareb-e-vahm-o-gumān samjhā
kabhī vo narġhe meñ dushmanoñ ke hujūm-e-ahbāb dekhtā hai
Ghazal
samundaron mein sarab aur KHushkiyon mein girdab dekhta hai
tañg-zarfī hai mire vahm kā Thahrā paanī
Thahre paanī pe jamī kaa.ī hai ḳhud-rā.ī kī
Ghazal
koi ummid na bar aai shakebai ki

Top Urdushayar.com