Tags-Waiz

gumāñ kis par kareñ suufī idhar hai us taraf vaa.iz
ḳhudā rakkhe mohalle meñ sabhī allāh vaale haiñ
Sher
guman kis par karen sufi idhar hai us taraf waiz
niyāz-e-ishq ko samjhā hai kyā ai vā.iz-e-nādān
hazāroñ ban ga.e ka.abe jabīñ maiñ ne jahāñ rakh dī
Sher
niyaz-e-ishq ko samjha hai kya ai waiz-e-nadan
ham ko bhī to vaa.iz hai bad o nek meñ tamīz
ham bhī to kabhī sāhib-e-īmān rahe haiñ
Ghazal
hum un ke sitam ko bhi karam jaan rahe hain
rind khaḌe haiñ mimbar mimbar
aur vaa.iz ne pī rakkhī hai
Ghazal
chehre pe thoDi rakkhi hai
vaa.iz ko apne aib-e-riyā kā rahā ḳhayāl
rindoñ kī saaf saaf mazammat na ho sakī
Ghazal
un ko jo shughl-e-naz se fursat na ho saki
naam ik but kā lab pe hai vaa.iz
hai yahī vird sub.h o shaam mirā
Ghazal
dekhiye to KHayal-e-KHam mera
gar aql-o-shu.ūr kī rasā.ī hote
vaa.iz kī samajh meñ baat aa.ī hotī
Rubaai
gar aql-o-shuur ki rasai hoti
jab jo chāheñ vo kaheñ apne ko vaa.iz lekin
bartarī mujh ko to hāsil hai bashar hone tak
Ghazal
chahe jo haal bhi ho unki nazar hone tak
karte haiñ log vaa.iz o 'mā.il' pe ta.an kyuuñ
piitā nahīñ jahān meñ koī sharāb kyā
Ghazal
baaten hain waizon ki azab o sawab kya
vaa.iz butoñ ke chāh-e-zaqan kā bayāñ na chhoḌ
varna kahīñ na pā.egā paanī kuaañ na chhoḌ
Ghazal
ai ham-safir talKHi-e-tarz-e-bayan na chhoD
apnī jannat mujhe dikhlā na sakā tū vaa.iz
kūcha-e-yār meñ chal dekh le jannat merī
Ghazal
apni jannat mujhe dikhla na saka tu waiz
qat.a hotā rahe is tarah bayān-e-vā.iz
ek hī baat meñ ho band zabān-e-vā.iz
Ghazal
qata hota rahe is tarah bayan-e-waiz
fasl-e-gul aate hī mai-ḳhāna meñ ik bhiiḌ huī
na sunī ek bhī rindoñ ne fuġhān-e-vā.iz
Ghazal
qata hota rahe is tarah bayan-e-waiz
tezī-e-bāda kujā talḳhī-e-guftār kujā
kund hai nashtar-e-sāqī se sinān-e-vā.iz
Ghazal
qata hota rahe is tarah bayan-e-waiz
is tarah pand-o-nasīhat kī uThā.ī tamhīd
aaj saaqī pe huā mujh ko gumān-e-vā.iz
Ghazal
qata hota rahe is tarah bayan-e-waiz
kyuuñ na mīnā-e-mai-e-nāb paTak duuñ sar par
aish jab talḳh ho sun sun ke bayān-e-vā.iz
Ghazal
qata hota rahe is tarah bayan-e-waiz
turfa-āfat meñ phañsī aatī hai jān-e-vā.iz
kaun mai-ḳhāna meñ thā martaba-dān-e-vā.iz
Ghazal
qata hota rahe is tarah bayan-e-waiz
phir dar-e-pīr-e-ḳharābāt pe baiThā hai 'habīb'
ye to aayā thā abhī sun ke bayān-e-vā.iz
Ghazal
qata hota rahe is tarah bayan-e-waiz
vaa.iz ko ūñch-nīch mohabbat kī kyā patā
ye mas.ale nahīñ ulamā-e-kirām ke
Ghazal
saqi bhale phaTakne na de pas jam ke
vaa.iz ko munāsib nahīñ rindoñ se tane
mimbar pe latāḌ deñ agar dil meñ Thane
Rubaai
waiz ko munasib nahin rindon se tane

Top Urdushayar.com