Tags-Waqt

us ne bhī merā haal na pūchhā kisī bhī vaqt
maiñ ne bhī us ko koī ishāra nahīñ diyā
Ghazal
maujon ki sazishon ne kinara nahin diya
hameñ zamīñ pe utārā gayā zavāl ke vaqt
yahī bajā hai to phir nauhagar bhī koī na ho
Ghazal
safar bhi koi na ho rahguzar bhi koi na ho
rakhnā na tavaqqo.a dil-e-nādāñ tū kisī se
us vaqt meñ apnoñ ko bhī begāna samajhnā
Ghazal
tu aapko poshida o iKHfa na samajhna
masjūd kā.enāt ho jaise nazar-navāz
kitnā latīf vaqt tulū-e-sahar bhī hai
Ghazal
qudrat hai turfa-kar tujhe kuchh KHabar bhi hai
sunā hai sair-e-chaman ko vo aa rahe haiñ aaj
junūn-e-shauq ko bar-vaqt intibāh karo
Ghazal
nahin ye rasm-e-mohabbat ki ishtibah karo
vaqt ke maqtal meñ ham haiñ dosto
vaqt ik din ham ko bhī khā jā.egā
Ghazal
jo bhi teri aankh ko bha jaega
bahut kaḌā thā vo vaqt mujh par
vo vaqt lekin guzar gayā hai
Ghazal
junun sar se utar gaya hai
chale-chalo ki batā degī raah ḳhud raste
kahāñ hai vaqt ki koī kisī ko samjhā.e
Ghazal
ye rang-o-nur bhala kab kisi ke hath aae
tārīḳh ne pasand kiyā bhī kisī sabab
yā bas ki shāh-e-vaqt thā aurāq meñ rahā
Ghazal
itna tilism yaad ke chaqmaq mein raha
ro ro ke ruuh jism se kahtī hai vaqt-e-naz.a
ai ghar mileñge dekhiye kab tujh se chhūT ke
Ghazal
pahuncha hai uske pas ye aaina TuT ke
zof-e-junūñ ko vaqt-e-tapish dar bhī duur thā
ik ghar meñ muḳhtasar bayābāñ zarūr thā
Ghazal
aaina dekh apna sa munh le ke rah gae
hāthoñ kī lakīreñ tujhe kyā samt dikhā.eñ
sun vaqt kī āvāz ko ruḳh dekh havā kā
Ghazal
hai qaht na tufan na koi KHauf waba ka
chār-sū vaqt kī gardish kī fasīl-e-shab hai
bach ke is gardish-e-daurāñ se kidhar jāoge
Ghazal
mauj-e-sarsar ki tarah dil se guzar jaoge
vaqt har baar badaltā huā rah jaatā hai
ḳhvāb ta.abīr meñ Dhaltā huā rah jaatā hai
Ghazal
waqt har bar badalta hua rah jata hai
inqilāb-e-vaqt kā ye bhī karishma dekhiye
hai numā.ish ke liye ab āñ-jahānī kā libās
Ghazal
tum pasina mat kaho hai jaan-fishani ka libas
vaqt ke aage sipar Daale hue kaun haiñ ye
ham to the vaqt kī buniyād hilāne vaale
Ghazal
har qadam par nai diwar uThane wale
vaqt kī savārī par jo rukī huī hogī
fāsle karūñgā tai jo kahīñ nahīñ hoñge
Ghazal
be-tahi yahi hogi ye jahan kahin honge
vaqt se kahiyo zarā kam kam chale
kaun yaad aayā hai aañsū tham chale
Ghazal
waqt se kahiyo zara kam kam chale

Top Urdushayar.com