Tags-Zindagi

sarḳhushī ban na sakī zahr-e-alam kā tiryāk
zindagī talḳhī-e-hālāt se aage na baḌhī
Ghazal
fikr pabandi-e-haalat se aage na baDhi
shabāb-e-dard mirī zindagī kī sub.h sahī
piyūñ sharāb yahāñ tak ki shaam ho jaa.e
Sher
shabab-e-dard meri zindagi ki subh sahi
vo ek din hī mirī zindagī kā hāsil hai
ki mere paas koī ruk gayā thā bārish meñ
Ghazal
khile hain phul usi rang ki sataish mein
zindagī sīdhī sī ik raah nahīñ hai ai dost
is meñ jo moḌ haiñ vo tū ne kahāñ dekhe haiñ
Ghazal
humse gumrah zamane ne kahan dekhe hain
dekhī nahīñ hai tū ne kabhī zindagī kī lahr
achchhā to jā 'adam' kī surāhī uThā ke lā
Ghazal
lahra ke jhum jhum ke la muskura ke la
hai mumkin zindagī aa.e samajh ab
dobāra sar khapā kar dekhte haiñ
Ghazal
ye bar-e-gham uTha kar dekhte hain
ye zindagī kā bayābāñ agar ijāzat de
zarā sī dhuup uThā luuñ yahāñ Thaharte hue
Ghazal
kahin andhere kahin raushni se Darte hue
sūrat dikhā ke ḳhvāb meñ ik aan ke liye
ye kaun zindagī ke hasīñ ḳhvāb le gayā
Ghazal
kaise kahun safine ko sailab le gaya
ahl-e-duniyā dekhte haiñ kitnī hairānī ke saath
zindagī ham ne basar kar lī hai nādānī ke saath
Ghazal
ahl-e-duniya dekhte hain kitni hairani ke sath
ek lamhe ke liye bhī ḳhud se ham na mil sake
zindagī thī shahr vāloñ ko dikhāne ke liye
Ghazal
kar chuke nauhe bahut guzre zamane ke liye
mujh se ābād hai jo tanhā.ī
zindagī kā siñghār hai mire dost
Ghazal
tujhse hi sab bahaar hai mere dost
is ke andar zindagī kī qadr karte ho talāsh
aur liye phirtā hai bhaa.ī dūsre bhaa.ī kī laash
Nazm
tarz-e-nau ki shaeri
bhulā na de ye zamāna tum ko qadīm qabl-e-masīh kah kar
ki zindagī kī kahāniyoñ meñ koī haqīqat kā baab rakhnā
Ghazal
KHizan ke be-kaif manzaron ka ba-rang-e-KHushbu jawab rakhna
zindagī kā dard le kar inqalāb aayā to kyā
ek doshīza pe ġhurbat meñ shabāb aayā to kyā
Ghazal
zindagi ka dard le kar inqalab aaya to kya
tishna-e-anvār hai ab tak urūs-e-zindagī
bādaloñ kī pālkī meñ āftāb aayā to kyā
Ghazal
zindagi ka dard le kar inqalab aaya to kya
ab aisī zindagī se maut aa jaatī to behtar thā
huī taz.hīk apnī dāstān-e-dil bayāñ kar ke
Ghazal
bahaaron se KHizan tak yunhi sair-e-gulistan kar ke
bhulā diyā mujhe tū ne tujhe maiñ kho baiThā
na maiñ tirā huā ai zindagī na tū merī
Ghazal
ye aah-e-parda-dar aisi hui adu meri
jab sisaktī reñgtī sī zindagī dekhī kahīñ
phir ḳhudā kī dī huī sab nemateñ achchhī lagīñ
Ghazal
ghar ke andar bholi-bhaali suraten achchhi lagin
zindagī tū ne kahānī de dī
bātoñ bātoñ meñ nishānī de dī
Qita
zindagi tu ne kahani de di
chalī ga.ī hai tire saath zindagī 'jāved'
maiñ ho gayā huuñ tire ba.ad kis qadar tanhā
Ghazal
wo chandni mein kuchh aisa tha tar-ba-tar tanha

Top Urdushayar.com