Tags-Chaand

falak ke dāman pe chāñd taare nahīñ daraḳhshāñ to kyā 'nujūmī'
hazāroñ armāñ kā ḳhuun de kar maiñ shab ko rañgīñ banā rahā huuñ
Ghazal
fasana-e-dard-e-ishq unwan badal badal kar suna raha hun
jalva-e-ruḳhsār-e-sāqī sāġhar-o-mīnā meñ hai
chāñd uupar hai magar Duubā huā dariyā meñ hai
Sher
jalwa-e-ruKHsar-e-saqi saghar-o-mina mein hai
kahāñ vo chāñdnī rāteñ vo chāñd ke TukḌe
na ab vo ham haiñ na shakleñ haiñ mah-jabīnoñ kī
Ghazal
gulon ke parde mein shaklen hain mah-jabinon ki
chhalkā sā paḌ rahā hai 'vasī' vahshatoñ kā rañg
har chiiz pe zavāl hai aur chāñd raat hai
Ghazal
aankhon mein chubh gain teri yaadon ki kirchiyan
har ik kalī ne oḌh liyā mātamī libās
har phuul pur-malāl hai aur chāñd raat hai
Ghazal
aankhon mein chubh gain teri yaadon ki kirchiyan
campus kī nahr par hai tirā haath haath meñ
mausam bhī lā-zavāl hai aur chāñd raat hai
Ghazal
aankhon mein chubh gain teri yaadon ki kirchiyan
dil toḌ ke ḳhamosh nazāroñ kā kyā milā
shabnam kā ye savāl hai aur chāñd raat hai
Ghazal
aankhon mein chubh gain teri yaadon ki kirchiyan
āñkhoñ meñ chubh ga.iiñ tirī yādoñ kī kirchiyāñ
kāñdhoñ pe ġham kī shaal hai aur chāñd raat hai
Ghazal
aankhon mein chubh gain teri yaadon ki kirchiyan
vo chaar chāñd falak ko lagā chalā huuñ 'qamar'
ki mere ba.ad sitāre kaheñge afsāne
Sher
wo chaar chand falak ko laga chala hun qamar
dekh jugnū bhī tum se jalte haiñ
chāñd-nagrī kī chāñdnī ho tum
Ghazal
hur ho ya koi pari ho tum
chāñd ne apnā diip jalāyā shaam bujhī vīrāne meñ
us kī bastī duur hai shāyad der hai us ke aane meñ
Ghazal
chand ne apna dip jalaya sham bujhi virane mein
bastiyāñ chāñd sitāroñ kī basāne vaalo
kurra-e-arz pe bujhte chale jaate haiñ charāġh
Ghazal
tere hote hue mahfil mein jalate hain charagh
anokhā lāDlā khelan ko māñge chāñd
kaisī anokhī baat re
Nazm
darshan
chāñdnī husn kī achchhī hai magar naaz na kar
tujh ko is chāñd kā tārīk gahan yaad nahīñ
Ghazal
KHud-faramosh-e-qafas hum hain chaman yaad nahin
mere ghar kī chhat ke uupar sūraj aayā chāñd bhī utrā
chhat ke nīche ke kamroñ kī jaisī thī auqāt vahī hai
Ghazal
main bhi kab se chup baiTha hun wo bhi kab se chup baiThi hai
chāñd kā qurb lagā kaisā chalo pūchh aa.eñ
āsmānoñ ke safar se vo palaT aayā hai
Sher
chand ka qurb laga kaisa chalo puchh aaen
masāfat-e-shab-e-hijrāñ meñ chāñd bhī 'ajmal'
thakan se chuur ġhamoñ se niDhāl ho gayā hai
Ghazal
kisi ke hijr mein jina muhaal ho gaya hai
lā.eq-e-hamd hai vo jis kī ziyā hai un meñ
kam-nazar chāñd sitāroñ kā parastār na ban
Ghazal
gham se ghabra ke qayamat ka talabgar na ban
chāñd ubhrā na mire jism se saayā niklā
shām-e-ġham aa.ī to maiñ ghar se akelā niklā
Ghazal
chand ubhra na mere jism se saya nikla
chāñd meñ Dhalne sitāroñ meñ nikalne ke liye
maiñ to sūraj huuñ bujhūñgā bhī to jalne ke liye
Ghazal
chand mein Dhalne sitaron mein nikalne ke liye

Top Urdushayar.com