Tags-Hijr

jo visāl-o-hijr se duur hai jo karam sitam se hai be-ḳhabar
kuchh uThā huā hai vo dard bhī kuchh uThī huī vo nazar bhī hai
Ghazal
jise log kahte hain tirgi wahi shab hijab-e-sahar bhi hai
ye visāl-o-hijr kī bahs kyā ki ajiib chiiz hai ishq bhī
tujhe pā ke hai vahī dard-e-dil vahī rañg-e-zaḳhm-e-jigar bhī hai
Ghazal
jise log kahte hain tirgi wahi shab hijab-e-sahar bhi hai
hijr ko shauq-e-mudāvā hī samajh kar jī leñ
zindagī tujh se ulajhne kā to yaarā hī na ho
Ghazal
ye bhi mumkin hai ki aankhen ho tamasha hi na ho
ajab thī hijr kī saa.at ki jaañ pe ban aa.ī
kaḌā thā vaqt vo dil par magar guzar bhī gayā
Ghazal
main ek ret ka paikar tha aur bikhar bhi gaya
oḌh letī huuñ hijr bistar par
apnī ḳhasta-tanī bichhātī huuñ
Ghazal
dil ki ek ek kani bichhati hun
hijr kī shab se bahut duur sar-e-matla-e-shauq
ab ke tanhā.ī meñ vo mujh se milā pahlī baar
Ghazal
mahw-e-nazzara-e-hairat hai hawa pahli bar
afsos mujh ko is pe sazā hijr kī milī
maiñ ne likhā thā naam tumhārā bahut ġhalat
Ghazal
tumne kiya hai tumne ishaara bahut ghalat
taḌap kar shab-e-hijr meñ kyuuñ na ro.uuñ
chamaktī hī barq abr aa.e hue haiñ
Ghazal
kab apni KHushi se wo aae hue hain
din guzrā aur shaam Dhalī phir vahshat le kar aa.ī raat
jab bhī us kā hijr manāyā ham ne vo kahlā.ī raat
Ghazal
din guzra aur sham Dhali phir wahshat le kar aai raat
ab aa bhī jaao ki ik dūsre meñ gum ho jaa.eñ
visāl-o-hijr kā qissa bahut purānā huā
Sher
ab aa bhi jao ki ek dusre mein gum ho jaen
husn kī daulat us kī hai aur vasl kī ishrat bhī us kī
jis ne pal pal hijr meñ kaaTā jaur sahe dukh jhele haiñ
Sher
husn ki daulat uski hai aur wasl ki ishrat bhi uski
vahshat-e-hijr bhī tanhā.ī bhī maiñ bhī 'anjum'
jab ikaTThe hue sab ek ġhazal aur kahī
Ghazal
kitna DhunDa use jab ek ghazal aur kahi
vahī hijr dushman-e-vasl hai vahī marg-o-zīst meñ fasl hai
vahī apne shaġhl se shaġhl hai vahī apne kaam se kaam hai
Ghazal
wahi wada hai wahi aarzu wahi apni umr-e-tamam hai
kaun rotā hai yahāñ raat ke sannāToñ meñ
mere jaisā hī koī hijr kā maarā hogā
Ghazal
uski aankhon mein mohabbat ka sitara hoga
kabhī to vasl kī chāragarī bhī kaam aa.egī
abhī to hijr marham hai abhī tū nam na kar āñkheñ
Ghazal
charagh-e-zist maddham hai abhi tu nam na kar aankhen
vasl kā aalam ki jaise hoñ shafaq kī lāliyāñ
hijr kā māhaul hai qurbat ke jaadū kī tarah
Ghazal
dil ka aalam bhi hua hai aalam-e-hu ki tarah
tumhārā hijr mire saath rahnā chāhtā hai
use batāo ki is se bahut baḌā huuñ maiñ
Ghazal
koi malal hun dukh hun batao kya hun main
ye kaun pāltā phirtā hai hijr kā aaseb
mujhe batāyā gayā thā ki mar chukā huuñ maiñ
Ghazal
koi malal hun dukh hun batao kya hun main
vasl kī sub.h shab-e-hijr ke ba.ad aa.ī hai
āftāb-e-ruḳh-e-mahbūb kā nazrāna liye
Ghazal
laghzish-e-gam liye laghzish-e-mastana liye
lamhe lamhe kī rifāqat thī kabhī vaj.h-e-nashāt
mausam-e-hijr huā ab sar-o-sāmāñ apnā
Ghazal
is tawaqqoa pe khula rakkha gareban apna

Top Urdushayar.com