Tags-Chaand

har roz ḳhushī hai shab-e-ġham se pāmāl
ḳhālī kā hai chāñd ba.ad shahr-e-shavvāl
Rubaai
har rose KHushi hai shab-e-gham se pamal
chāñd TuuTā pighal ga.e taare
qatra qatra Tapak rahī hai raat
Nazm
aaKHiri raat
is rūmāl ko kaam meñ laao apnī palkeñ saaf karo
mailā mailā chāñd nahīñ hai dhuul jamī hai āñkhoñ meñ
Ghazal
dil mein ek taswir chhupi thi aan basi hai aankhon mein
zindagī meñ agar haiñ añdhere 'salīm'
terī ġhazloñ meñ phir chāñd sā kaun hai
Ghazal
aks hairan hai aaina kaun hai
jugnuoñ ne aaj dāvat par bulāyā chāñd ko
chāñd shab-bhar TimTimāyā mezbānī dekh kar
Ghazal
KHush bahut tha ek lamha shadmani dekh kar
un mah-ruḳhoñ kī ham se jo ye be-ruḳhī rahī
jaanā paḌegā chāñd pe kuchh din guzārne
Ghazal
main dasht-e-zindagi ko chala tha nikhaarne
raat oḌhe hue aa.ī hai faqīroñ kā libās
chāñd kashkol-e-gadā.ī kī tarah nādim hai
Nazm
yaad
ik chāñd āsmān pe ik mere sāmne
in qurbatoñ meñ dil ke sabhī fāsle ga.e
Ghazal
in aandhiyon ke sath kai ghonsle gae
kal phir chāñd kā ḳhanjar ghoñp ke siine meñ
raat ne merī jaañ lene kī koshish kī
Ghazal
phul ne Tahni se uDne ki koshish ki
tere ruup ke aage phīke chāñd-sitāre bhī
bālī-vālī kañgan-va.gan zevar-vevar kyā
Ghazal
dushman-wushman neza-weza KHanjar-wanjar kya
merī peshānī par jhalkī mere lahū kī aag
rāt-Dhale kuchh chāñd sā ugnā us ke pahlū se
Ghazal
lafzon ka nairang hai mere fan ke jadu se
mujhe pata thā darīche se raat jhāñkegī
isī ḳhayāl se maiñ chāñd le ke aayā thā
Ghazal
bas ek bar tera aks jhilmilaya tha
kabhī to ḳhaak meñ vo bhī mileñge
abhī jo chāñd se 'fikrī' bane haiñ
Ghazal
hawa se zard patte gir rahe hain
ek din bhī to na apnī raat nūrānī huī
ham ko kyā ai mah-jabīñ gar chāñd-peshānī huī
Ghazal
ek din bhi to na apni raat nurani hui
chehre chāñd sitāroñ vaale herā-pherī karte haiñ
ye paikar maTiyāroñ vaale herā-pherī karte haiñ
Ghazal
chehre chand sitaron wale hera-pheri karte hain
hañste hue chehre pe bhī aatī hai udāsī
hai chāñd kī taqdīr meñ thoḌā sā gahan bhī
Ghazal
hairat hai jinhen meri taraqqi pe jalan bhi
āsmāñ ke taaq par sajte rahe ik ik charāġh
maiñ zamīñ kā chāñd apne hī ḳhalā meñ qaid thā
Ghazal
ghuncha ghuncha mausam-e-rang-e-ada mein qaid tha
uḌte lamhoñ ke dāman meñ terī yaad kī ḳhushbū hai
pichhlī raat kā chāñd hai yā hai aks tirī añgḌā.ī kā
Ghazal
raat ki zulfen bhigi bhigi aur aalam tanhai ka
kaash vo pahlī mohabbat ke zamāne aate
chāñd se log mirā chāñd sajāne aate
Ghazal
kash wo pahli mohabbat ke zamane aate
phir titliyāñ sī uḌne lagīñ dasht-e-ḳhvāb meñ
phir ḳhvāhish-e-visāl hai aur chāñd-rāt hai
Ghazal
main hun tera KHayal hai aur chand-raat hai

Top Urdushayar.com