Tags-Jalwa

dil-e-sozāñ dikhānā jalva husn-o-ishq donoñ kā
kahīñ sham-e-shabistāñ aur kahīñ parvāna ban jaanā
Ghazal
na ai dil surat-e-shaiKH-e-haram diwana ban jaana
huī hai kis qadar arzāni-e-mai-e-jalva
ki mast hai tire kūche meñ har dar-o-dīvār
Ghazal
bala se hain jo ye pesh-e-nazar dar-o-diwar
vo baam pe phir jalva-numā mere liye hai
gul-bār-o-ziyā-bār fazā mere liye hai
Ghazal
wo baam pe phir jalwa-numa mere liye hai
na ḳhat aa.e par bhī kamī paḌī tirī shān-e-husn meñ yak zarī
vahī qad kī fitnagarī rahī vahī ruḳh kī jalvagarī rahī
Ghazal
tere munh chhupate hi phir mujhe KHabar apni kuchh na zari rahi
ma.ashūq ko to jalva-numā.ī zarūr hai
dekho aziiz misr ke so maiñ dikhā liyā
Ghazal
dam-e-KHayal-e-zulf-e-butan se chhuDa liya
māvarā.ī saaya jalva jo gurezāñ hai mirī nazroñ se
merī bāñhoñ kī harārat meñ kabhī sham.a ke mānind pighal jaatā thā
Nazm
mawara
ā.īna-ḳhāne meñ vo jis vaqt aan baiThe
phir jis taraf ko dekho jalva hai vaañ parī kā
Ghazal
baatil hai humse dawa shaer ko ham-sari ka
muñh par ye goshvāra motī kā jalva-gar hai
jaise qirān-e-bāham ho maah o mushtarī kā
Ghazal
baatil hai humse dawa shaer ko ham-sari ka
allāh-re shauq-e-qais kī jalva-tarāziyāñ
akasr ġhubār-e-dasht ko mahmil banā diyā
Ghazal
ai ishq tu ne waqif-e-manzil bana diya
husn se tere huā hai ishq kā bāzār garm
tū agar jalva na kartā ham ko bhī saudā na thā
Ghazal
shakl-e-aks-o-aina masjid thi ya mai-KHana tha
sabzān in rū kī jahāñ jalva-gāh thī
ab dekhiye to vaañ nahīñ saaya daraḳht kā
Ghazal
har-dam taraf hai waise mizaj karaKHt ka
mujh ko dikhlāo na apnī ye adā-e-jalva
chalo taslīm ki tum mujh meñ bhī pinhāñ ho zarūr
Ghazal
main to kahta hun tumhi dard ke darman ho zarur
vo jalva tuur par jo dikhāyā na jā sakā
āḳhir yahī huā ki chhupāyā na jā sakā
Ghazal
wo jalwa tur par jo dikhaya na ja saka
jalva-gāh-e-dil meñ marte hī añdherā ho gayā
jis meñ the jalve tire vo aa.ina kyā ho gayā
Ghazal
jalwa-gah-e-dil mein marte hi andhera ho gaya
go ab hazār shakl se jalva kare koī
apnā to dil is ā.īna-ḳhāne se uTh gayā
Sher
go ab hazar shakl se jalwa kare koi
hairat-e-jalva muqaddar hai to jalva kyā hai
tujh se vābasta hai dil varna tamāshā kyā hai
Ghazal
hairat-e-jalwa muqaddar hai to jalwa kya hai
ye ehtirām thā nigah-e-shauq kā jo tum
be-parda ho sake jalva-numā bhī na ho sake
Ghazal
paband-e-ehtiyat-e-wafa bhi na ho sake
jalva us kā ai 'sāhir' chashm-e-pāk-bīñ se dekh
husn-e-lā-yāzlī se shash-jahāt haiñ ābād
Ghazal
chashm-e-mast-e-saqi se dil hua KHarab-abaad
vo shakleñ jo dil meñ kabhī jalva-gar thiiñ
nazar aa.eñ barq sar-e-tūr ho kar
Ghazal
main masrur hun us se mahjur ho kar

Top Urdushayar.com