Tags-Khuda

gavāh chaah rahe the vo be-gunāhī kā
zabāñ se kah na sakā kuchh ḳhudā gavāh ke ba.ad
Ghazal
nazar mila na sake us se is nigah ke baad
jo āñkhoñ ke aage hai yaqīñ hai ki gumāñ hai
jo āñkhoñ se ojhal hai ḳhalā hai ki ḳhudā hai
Ghazal
but kya hain bashar kya hai ye sab silsila kya hai
ḳhudā kā shukr ki ilhād kī himāyat meñ
ḳhudā ne ham pe utārī kitāb ka.abe meñ
Ghazal
dikha hai hur ka jab se shabab kabe mein
kahāñ pe karte haiñ āshiq tavāf gin gin ke
ḳhudā ke vāste mat kar hisāb ka.abe meñ
Ghazal
dikha hai hur ka jab se shabab kabe mein
'aḳhtar' na karo un se gilā jaur-o-jafā kā
apnī bhī ḳhudā jaane havas hai ki vafā hai
Ghazal
but kya hain bashar kya hai ye sab silsila kya hai
shaitān bhī rahtā hai mire dil meñ ḳhudā bhī
ab aap kahīñ dil kī sadā kis kī sadā hai
Ghazal
but kya hain bashar kya hai ye sab silsila kya hai
zamīñ dī hai to thoḌā sā āsmāñ bhī de
mire ḳhudā mire hone kā kuchh gumāñ bhī de
Ghazal
zamin di hai to thoDa sa aasman bhi de
kuchh to us husn meñ rakhī hai ḳhudā ne tāsīr
aur kuchh logoñ ko betāb bahut dekhtā huuñ
Ghazal
apne mar-miTne ke asbab bahut dekhta hun
kuchh khaTaktā to hai pahlū meñ mire rah rah kar
ab ḳhudā jaane tirī yaad hai yā dil merā
Sher
kuchh khaTakta to hai pahlu mein mere rah rah kar
dekhā jise bismil kiyā taakā jise maarā
us aañkh se Dariye jo ḳhudā se na Darī aañkh
Ghazal
dam-bhar jo na dekhe tujhe ai rashk-e-pari aankh
hamārī bekasī aur nā-tavānī kā ḳhudā hāfiz
ki talvāreñ haiñ pinhāñ rahbaroñ kī āstīnoñ meñ
Ghazal
abas DhunDa kiye hum na-KHudaon ko safinon mein
ham manāte haiñ tumheñ bahr-e-ḳhudā man jaao
maan lo maan lo ai jaan hamārā kahnā
Ghazal
wasl mein pher ke munh hae kisi ka kahna
jab liyā nām-e-ḳhudā kashtī kināre lag ga.ī
jaane kis kis bul-havas ko nāḳhudā samjhā thā maiñ
Ghazal
tujhko aghraaz-e-jahan se mawara samjha tha main
achchhā jo ḳhafā ham se ho tum ai sanam achchhā
lo ham bhī na boleñge ḳhudā kī qasam achchhā
Ghazal
achchha jo KHafa humse ho tum ai sanam achchha
naash par to ḳhudā ke vāste aa
mar ga.e tere intizār meñ ham
Ghazal
mar gae hain jo hijr-e-yar mein hum
ye aalam hai 'riyāz' ek ek qatre ko tarastā huuñ
haram meñ ab bharī botal ḳhudā jaane kahāñ rakh dī
Ghazal
jo hum aae to botal kyun alag pir-e-mughan rakh di
ḳhudā ke haath hai biknā na biknā mai kā ai saaqī
barābar masjid-e-jāme ke ham ne ab dukāñ rakh dī
Ghazal
jo hum aae to botal kyun alag pir-e-mughan rakh di
dil pe jo guzrī koī kyā jaane
ye to ham jāneñ yā ḳhudā jaane
Ghazal
dil pe jo guzri koi kya jaane
sunā hai aaj vo but ḳhuub hī ban-Than ke aatā hai
tire dil kā are o 'anjum'-e-shaidā ḳhudā hāfiz
Ghazal
dam-e-ruKHsat jo un se kah ke main uTTha KHuda-hafiz
hifāzat meñ vo dekhe ġhair kī tujh ko qayāmat hai
kabhī jo bad-gumānī se na ho kahtā ḳhudā-hāfiz
Ghazal
dam-e-ruKHsat jo un se kah ke main uTTha KHuda-hafiz

Top Urdushayar.com